Jab karbala ki

- Fatema Ladak (2013)


Jab karbala ki

 

Jab karbala ki simt barha haq ka rehnuma, kuch agaya khayaal jo maa ke mazaar ka

Aya suwey Baqee wo Zahra ka laadla, rukhsaar rakh ke sadr e lehed par ye di sada

Chut ta hai ab Madina merey dil ko thaam lo, Amma ghareeb betey ka aakhir salam lo

 

Amma tumharey laal se chut ta hai aaj ghar, amma tumharey laal se bargashta har nazar

Amma tumharey laal ka dushman hai har bashar, amma tumharey laal ka hai aakheri safar

Sehra me dil ke tukro ki basti basayega, amma Hussein ab na madiney me ayega

 

Amma dua karo ke mai saabit qadam rahu, duniya khilaaf ho pa hiraasan zara nahu

Har lamha muskura key sitam par sitam sahu, nazro ke saamney jo lutey ghar na kuch kahu

Amma ye aansu aayein na Akber ke waastey, raasha na aaye hatho me asghar ke waastey

 

Maa se ye kehraha tha abhi maa ka laadla, awaz aayi qabr se ay merey mehlaqa

Sadqey teri musibat o ghurbat pe Fatema, bas ay Hussein bas ke hila arsh e kibriya

Tarpey Abul Hassan bhi dil e beqarar se, beta Rasool e haq nikal aye mazaar se

 

Ay merey laal terey irado ke mai nisaar, ye akheri safar hai merey dil ka izteraar

Kaisey kahu jo dilpe guzarti hai gul azaar, hota hai be charaagh merey baap ka mazaar

Jo tujpe zulm hongey ye dukhiya uthayegi, beta ye gham naseeb terey saath jayegi

 

Aansu bahaungi terey ranjo alam ke saath, aankhein bichaungi terey naqshey qadam ke saath

Zahra nidhaal hogi har ek taza gham ke saath, mera kaleja niklega potey ke dam ke saath

Ghabhra na merey laal har ek dukh bataungi, mai terey saath lasha e Akber uthaungi

 

Jayega tu jo nehr pe bhaai ki laash par, mai terey saath saath chalungi barehna sar

Beta Hussein kya tuje iski nahi khabar, Abbas tera bhaai to mera dil o jigar

Tu laash layega to safey gham bichaungi, mai ghod me katey huwe haathon ko laungi

 

Beta Hassan ke laal ki khaatir ye kya malaal, merey Hassan ne tujpe nichawar kiya wo laal

Fidye ke waastey koi karta hai yu malaal, beta mai us ghari bhi rahungi sharik e haal

Gham hai qadam utha ke dil e paash paash ke, turkey chunungi ran se mai Qasim ki laash ke

 

Haan merey laadley meri Zainab se hoshiyaar, be parda ho na jaye kahi meri parda daar

Mehmil ke saath saath hon Abbas e zee waqar, taakeed ho ye Akbar e mehru ko baar baar

Aamaada har qadam pe rahein peshwaai ko, takleef ho na raah me Zahra ki jaayi ko

 

Jaa marqad e Rasool pe ay merey laal afaam, laazim hai nanajaan ko bhi aakheri salaam

Dena meri taraf se ye hasrat bhara payam, mumkin nahi madiney me Zahra karey qayaam

Tum bhi lahu me apna chaman dekhney chalo, Zainab ke bazuon me rasan dekhney chalo