Azan-e-Ali Akbar(a.s)

- Haamid Jafri (2014)


Aaya hai sare khaima laasha ali akbar ka,
Dum hoto'n pe aaya hai yu zainabe muztar ka..

Tuti hai qamar sheh ki binaai hui ruksat,
Kuch aise tassasul se gham deti rahi kismat,
Sadma tha abhi gehra abbase dilawar ka..

Beta wo shahedeen ka ahmed ki nishani tha,
Madar ka dulara tha wo yusufe saani tha,
Haay zakhmi hua sina us husn ke paikar ka..

Seh roz se pyaasa tha na socha sitamgar ne,
Hai gher ke maara tha nau laakh ke lashkar ne,
Dil doobta jaata hai ye soch ke madar ka..

Hasrat thi bohat dil me har waqt ye sughra ke,
Laaenge dulhan akbar sehra jo sajaaenge,
Par khaak hua saara armaan wo khahar ka..

Jab sinaae akbar me naize ki ani tuti,
Shabbir ki haalat pe khud maut bhi roti thi,
Dushwar hua jina ab dehar me sarwar ka..

Kufe se mutassil hai ye karbobala haay,
Maqtal ki fizaao me ye bain hai zahra ke,
Phir shaak se tuta hai gul gulshane haider ka..

Ek hook si uthti hai shabbir ke sine me,
Laila bhi hai khaime me zainab bhi hai khaime me,
Kis tarah is hashr ke manzar ka..

Qurane masaib ka tafsir ka nauha hai,
Kirtas ke sine pe tehreer ka nauha hai,
Salman lahu hoga dil kyu na sukhanwar ka..