Ya Hussain(a.s) Alwida aye Hussain Alwida Alwida

- Miscellaneous (2014)


Ya Hussain(a.s) Alwida aye Hussain Alwida Alwida,
Aye shahide jafa aye hussain alwida alwida..
 
1. Karbala me daga se bulaya,
Kufiyo’n ne hai nahaq sataya,
Band paani sheh par kiya hai..
 
2. Kuch na mutlaq unhe rehm aaya,
Khushk gardan pe khanjar chalaya,
Ghum me dono jaha’n ro raha hai..
 
3. Halqe asghar pe hai zakhm taari,
Khoon gardan se uske hai jaari,
Muh pe sarwar ne apne mala hai..
 
4. Leke asghar ko ab ran me jaye’n,
Gar ho mumkin to paani pilaye’n,
Pyaas se uska man kaa dhala hai..
 
5. Di ye aawaz akbar ne baba,
Aayi ye ab madad ko khudara,
Kalb me mere naiza laga hai..
 
6. Ran se abbas ne ye sada di,
Aayi ye sheh madad ko hamari,
Khaak par ab alam gir raha hai..
 
7. Laash khaime me lekar na jaye’n,
Or sakina se kuch mat bataye’n,
Aapse bus yahi ilteja hai..
 
8. Kasime khasta tan ne pukara,
Dubta hai hasan ka sitara,
Waqt aakhir humara chacha hai..
 
9. Lut raha hai awas babo zewar,
Chin gayi sar se zainab ke chadar,
Zulm ki bhi koi inteha hai..
 
10. Aag se jal gaye saare khaime,
Kya kare ab nabi ke dulare,
Ran me binte ali berida hai..
 
11. Ab hai abbas kasim na akbar,
Na habib or na hurre dilawar,
Ek bimaare aabid bacha hai..
 
12. Hai salaam aakhri shaahe dee’n ko,
Maut ne gar che mohlat di humko,
Phir ye ghum or ye banda tera hai..
 
13. Kuch na khidmat teri kar sake hum,
Dil hi dil me hai khud ghutt rahe hum,
Apni takdir se ye gila hai..
 
14. Aastane pe apne bulalo,
Sabki taklifo gurbat hatado,
Ab ye Zaidi ki tujh se dua hai..
 
:: Shukr-e-Maula ::