Alwida Alwida Alwida Aye hussain alwida alwida
- Miscellaneous (2006)
Alwida alwida - 4
Alwida alwida alwida aye hussain alwida alwida - 2
Gunjti hai sada alwida aye shahe karbala alwida
Alwida alwida alwida aye hussain alwida alwida
fatle ashke aza alwida dilbare fatima alwida
Alwida alwida alwida aye hussain alwida alwida - 2
1. kis tarha rokle aapko
Wasta kiska de aapko
kaise rukhsat aapko
kaise kehde bhala alwida
2. Saal bhar ab kaha dil ko chayn
hind se jaa rahe hai hussain
hai yahi aaj hoton pe bayn
kya ho ruksat kiya alwida
3. Fatema ke pisar assalam
mustafa ke pisar assalam
dilbare sayyeda alwida
sayyade karbala alwida
4. aye dilo jane shahe arab
6 mahine ke aye tashnalab
khun humko rulayga ab
aye shaheede jafa alwida
5. Jaane shahe hoda assalam
haydere karbala assalam
fatahe alqama assalam
aye ali ki dua alwida
6. Apne bhayya se jo chhut gayi
haye wo jiteji mar gayi
gul khawatin me hai yahi
Zainabe gamzada alwida
7. Umr bhar un pe girya kare
jinki chini gayi chadare
aao sar pit kar ye kahe
warise innama alwida
8. Ek sakina bhi thi tashnakam
roke kehte hai uske gulaam
zabt ki intehaa assalam
sabr ki intehaa alwida
9. Haye wo lagaro khasta tan
khun me tar tha jiska badan
usse kehti hai ye anjuman
jaao zainaul eba alwida
10. ek lamha nahi hai sukoon
hai ajab kaifiyat kya kahun
hai kis kis ko rukhsat karu
aale kharul wara alwida
11. hai khabar jinko fakhre khaleel
darde dil ki mai kya du daleel
wo kalam ro raha hai faseel
jis kalam se likha alwida