Alvida alvida
- Farhan (ALI WARIS) (2002)
Alvida alvida
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
BaBa(a.s.) Kaisay Kahon Alwidaa Alwidaa(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Aap(a.s.) Jatay Nahin Jaan Janay LagiZindagi Mujh Say Daman Churhanay Lagi
Saans Seenay Mein Ruk Ruk Kay Aanay Lagi
Ab Meray Saath Hain Aah Aur Hichkiyaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Kio Piyon Main Dawa Hochuki Bas ShifaChorh Kar Mujh Ko Mera Masiha Chala
Aisa Lagta Hai Mujh Say Hue Tum(a.s.) Khafa
Meri Hamjoliyaan Ab Hain Tanhaiyaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Kaisay Behlaaon Dil Kuch To Bolo Padar(a.s.)Qabr Say Kam Nahin Haaey Ab Mera Ghar
Mot Hai Ab Meri Aap(a.s.) Ka Yeh Safar
Bolti Hai Nazar Chup Hai Meri Zuban
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Din To Kat Jaeyga Shab Na Kat PaeygiAap(a.s.) Kay Hijr Mein Neend Kab Aaeygi
Neend Aai To Woh Mot Ban Jaeygi
Roey Ga Meri Gurbat Peh Ab Aasmaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Kon Jaata Hai Beemar Ko Chorh KarHaath Rakhtay Hain Beemar Kis Nabz Par
Us Ki Dil Joi Kartay Hain Shaam-o-Sahar
Rakhtay Hain Thanday Paani Ki Bhi Pattiyan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Lo Meray Ghar Say Rukhsat Ujaala HuaJata Hai Bhai(a.s.) Naazon Ka Paala Hua
Ranj Is Baat Say Hai Dobala Hua
Tum(a.s.) Rahogay Wahan Main(s.a.) Rahoongi Yahan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Haaey BaBa(a.s.) Meray Din Yeh Garmi Kay HainSaath Bachchon Ka Hai Yeh Safar Naa Karein
Ya To Phir Saath Mujh(s.a.) Ko Bhi Lekay Chalein
Keh Raha Hai Yehi Ab To Ashk-e-Rawan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Bhai Akbar(a.s.) Chalay Aur Asghar(a.s.) ChalayMujh Mein Aur Mot Mein Kam Huey Faaslay
Meri Jaanib Barhhay Dard Kay Qaaflay
Aakhri Baar Akbar(a.s.) Sunado Azaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Kum Say Kum Nanhay Asghar(a.s.) Ko Yaan Chorh DeinSaans Ki Toot Ti Doriaan Jorh Dein
Mot Ka Rukh Meri Simt Say Morh Dein
Aur Kuch Roz Jeeloongi Main(s.a.) Natawaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Aap Ki Ghar Say BaBa(a.s.) Sawari ChaliDam Karoon Aap Par BaBa(a.s.) Naad-e-Ali(a.s.)
Mein Dua-e-Safar Bhi Karoongi Abhi
Mera Kia Hai Khuda Hai Mera Meharbaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2