Sajjad mai zainab hu

- Safdar Abbas (2012)


majma hai koofiyo ka mere chalne ki jaa koi nai

1. Sajjad mere sar se nau baar chini chadar
balwe may nabi zadi phirwayi gayi darr darr
miljaye rida mujko aur meri dua koi nai bazare jafa
sajjad mai zainab....

2. Sajjad mere dil ko ye dard sata-ta hai
sar ghazi ka naize se jab khaakh pe aata hai
sar mere khula dekh ke gham issay bada koi nai bazare jafa
sajjad mai zainab....

3. Sajjad chaloon kaise lakhon hai tamashayi
yaad aata reh reh ke abbas mera bhai
faryad karoon tujhse ab tere siwa koi nai bazare jafa
sajjad mai zainab....

4. Maloom hai aada ko ghazi ki bahan mai
be-dast hai wo ghazi pabande rasan hoo mai
yaad aayi wafa uski jab paas raha koi nai bazare jafa
sajjad mai zainab....

5. Sajjad teri haalat dekhi nahi jati hai
be-parda mujhe dekhe ye baat rulati hai
sajjad teri tarha kanton pe chal koi nai bazare jafa
sajjad mai zainab....

6. Jaata hai suye zindan ab kunba mohamed ka
rassi may bandhe qaidi kanton se bhara rasta
ummat ne sitam dhaye kismat se gila koi nai bazare jafa
sajjad mai zainab....

7. Maut aayegi zindan may meri bali sakina ko
kya jake batungi bemaare madina ko
gham dil ke uthane ko ab bakhi bacha koi nai bazare jafa
sajjad mai zainab....

8. Bazare sitam may tha zainab ka ajab aalma
mazhar mai likhoo kaise zalim ne kaha jis dam
hai kaun tera waris zainab ne kaha koi nai bazare jafa
sajjad mai zainab....