Mai nahi hu

- Imran Mehdi (2010)


Khwab e sughra..(3)

1. Behen ne khwab ye kal shab hai dekha
Shabeeh e mustafa bhaiyya hamara
padar ke haath se banta hai dulha
bohot masroor hai khush hai sakina
damakta hai khushi se sabka chehra
lekin, mai nahi hu
afsos, mai nahi hu

2. Phuphi amma balae le rahi hai
bohot fizza duae de rahi hai
are thikana hai kya behno ke khushi ka
jo mange wo jo chahe le rahi hai
manata hai khushi kunba hamara
lekin, mai nahi hu
afsos, mai nahi hu

3. Ali asghar ko sheh wala banakar
bithaya maa ne akbar ke barabar
hatheli par rakhi mehendi zara si
khade hai paas abbas e dilawar
mujhe qasim ne har khaime me dhundha
lekin, mai nahi hu
afsos, mai nahi hu

4. Dulhan ke paas baithi hai sakina
bohot masroor hai ghazi ka beta
chacha akbar ki shaadi ki khushi me
naya malboos hai baqer na pehna
achanak mujhko aabid ne pukara
lekin, mai nahi hu
afsos, mai nahi hu

5. Mehek sehre ki ye batla rahi hai
sawari sayyada ki aa rahi hai
najaf se murtaza aae hue hai
hawa tazeem karne jaa rahi hai
hai aachal milke sab behno ne daala
lekin, mai nahi hu
afsos, mai nahi hu

6. Achanak khwab toota royi sughra
tha ghar me har taraf chaya andhera
tha laasho se bhara ganje shaheeda
ali akbar ke seene me tha naiza
mere baba tumhe dene ko pursa
lekin, mai nahi hu
afsos, mai nahi hu

7. arey abhi to khwab tha kitna suhana
tha jin haatho me dekha maine kangna
wo seene ka lahu roke hue the
kaha ki rasm e shaadi kaisa sehra
sabhi dete hai baba ko sahara
lekin, mai nahi hu
afsos, mai nahi hu

8. Samar behte rahe sughra ke aansu
bhare akbar ke khako khoo me gesu
ali akbar sue jannat sidhare
fiza me rehgai bus khoon ki bu
janaza mai uthati milke baba
lekin, mai nahi hu
afsos, mai nahi hu
Mai nahi hu..(2)