Taareeq de rahi hai yeh aawaz
- Miscellaneous (2014)
Taareeq de rahi hai yeh aawaz dum ba dum
Dasht-e-sabat-o-azm hai Dasht-e-bala-o-gham
Sabr-e-maseeh wa jura’at suqrat ki qasam
Is raah mein hai sirf ek insaan ka khadam
Jiski ragoun mein Aatish-e-Badr-o-Hunain hai
Us soorma ka Ism-e-Girami Hussain hai
2) Jo saheb-e-mizaj-e-Nabuwwat tha woh Hussain
Jo waris-e-zameer-e-Risaalath tha woh Hussain
Jo khalwati-e-shahid-e-qudrat tha woh Hussain
Jiska wajood fakhr-e-mshiyat tha woh Hussain
Saanchey mein dhaalney ke liye kaenaat ko
Jo tolta tha nok-e-mazaa’ per hayat ko
3) Jo ek nishaan-e-tashna dahani tha woh Hussain
Geeti pe arsh ki jo nishani tha woh Hussain
Jo khuld ka ameer-e-jawani tha woh Hussain
Jo ek san-e-jadeed ka baani tha woh Hussain
Jiska lahoo talatum-e-pinhaa’n liye huey
Har boond mein tha Nooh ka toofan liye huey
4) Jo kaarwan-e-azm ka rahbar tha woh Hussain
Khud apne khoon ka jo shanaawar tha woh Hussain
Ek deen-e-taaza ka jo payambar tha woh Hussain
Jo Karbala ka daawar-e-mahshar tha woh Hussain
Jiski nazar pe shewa-e-haq ka madaar tha
Jo rooh-e-inqilab ka parwardigaar tha
5) Haa’n ab bhi jo manara-e-azmat hai woh Hussain
Jiski nigaah marg-e-adawat hai woh Hussain
Ab bhi jo mehwa-e-dars-e-mohabbat hai woh Hussain
Adam ki jo daleel-e-sharafat hai woh Hussain
Waahid jo ek namoona hai zibh-e-azeem ka
Allah re inteqaab Khuda-e-Hakeem ka
6) Haa’n woh Hussain jiska abad aashna sabaat
Kahta hai gaah gaah hakeemou se bhi yeh baat
Yaaney duroon-e-parda-e-sad rang-e-kaeynaat
Ek kaarsaaz zehan hai, ek zee saroor zaat
Sijdoun se khainchta hai jo masjood ki taraf
Tanhaa jo ek ishaara hai ma’abood ki taraf
7) Taaqat si shaey ko khaak mein jisne mila diya
Taqta ulat ke khasrey hukumat ko dhaa diya
Jisne hawa mein ruab-e-imarat urhaa diya
Thokar se jisne afsar-e-shahi gira diya
Is tarha jis se zulm siyaah faam ho gaya
Lafz-e-yazeed daakhil-e-dushnaam ho gaya
8) Paani se teen roz huey jiske lab na tar
Tegh-o-tabar ko soump diya jisne ghar ka ghar
Jo mar gaya zameer ki izzat ke naam per
Zillat ke aastaa’n pe jhukaya magar na sir
Lee jisne saans rishta-e-shahi ko todh kar
Jisne kalaei maut ki rakh di madod kar
9) Har chund ahl-e-zor ne chaha yeh baarhaa
Ho jaye mehwe yaad-e-Shaheedan-e-Karbala
Baaqi rahe na naam zameen per Hussain ka
Laikin kisi ka zor azizo na chal saka
Abbas-e-Naamwar ke lahoo se dhula hua
Ab bhi Hussainiat ka alam hai khula hua. (Written By: Josh Maleeh Abaadi)