Qaid Me Dukhthare Sultane

- Miscellaneous (2014)


Qaid me dukhthare sultane zaman akhir hai
Baap ki yaad me awara wathna akhir haie
Zulm uthe nahi mehboose rasan akhir hai
Kehthi thi aap girafthare mahen akhir hai - jawab
Qaid me yon tho gunahgaar bhi kam marthe hain
Jistarha khanaye tareek me ham marthe hain - jawab

2)     Marazul mauth hai aur kasrathe andoho fughan
Haif sad haif howe naza ke asaar ayan
Karwate lene lagi jaane imame do jahan
Kuch ajib yaas se daam thodthi thi wo nadan - jawab
Karb me baap ki ashiq jo zamee par tadpi
Maa bhi dil thaam ke beti ke barabar tadpi - jawab

3)     Royi saidaniya sajade hazee ghabraye
Jald tashreef Sakina ke sirhane laye
Bediyan pehne howe ashk bahathe aye
Oska meon dekhthe hi azo badan tharraye - jawab
Sadmaye ye furkhathe mehboose rasan se roye
Naza me khoob gale milke bahen se roye - jawab

4)     Osne ahisthe kaha ham hain musafir bhai
Bakhash do jurmo khatha sabiro shakir bhai
Sadmaye qaid ne mara hame akhir bhai
Mauth sarpar hai khuda hafizo nasir bhai - jawab
Samne hakime azlam na bulaye tumko
Ham chale qaid se Allah bachaye tumko - jawab

5)     Hasil ay bhai meri aaj tamanna hogi
Khuld me aaj ye shabir ki shaida hogi
Aaj phir shah ke seene pe meri jaa hogi
Par ye gham hai ke tumhe dafan me eeza hogi - jawab
Na siwa dafano kafan ke mera sama karna
Isi kurthe me mujhe khaak me pinha karna - jawab

6)     Phoopi amma ko bohat ranj na khane dena
Ashk amma ko na har waqt bahane dena
Shumar ko meri lahed par bhi na ane dena
Laye wo dafn ka sama tho na lane dena - jawab
Zulm se dilbare zehra ka gala kata hai
Nahakh osne mere baba ka gala kata hai - jawab

7)     Chup howi hay pidar kehke Sakina zeeja
Murdani chahgayi os chand se meon par nagha
Shor tha gulshane fani se chali dukhthare shah
Hichki beti ne jo li maa ne kaha bismillah - jawab
Royi sarpeet ke nacharo pareshan Zainab
Khaak pe bait ke padhne lagi Quran Zainab - jawab

8)     Dastho pa sard howe rang badal the dekha
Khaak par nannhi si gardan ko bhi dhal the dekha
Os mareeza ghame shay ko na sambhal the dekha
Boli banoye hazee dam jo nikal the dekha - jawab
Baap ke paas gayi meri Sakina hai hai
Margayi dukhthare sultane madina hai hai - jawab

9)     Shor tha haye gazab dafan ki tadbeer nahi
Aur waris koyi juz abide dilgeer nahi
Aaj abbas nahi hazrathe shabir nahi
Inthehaye sithame lashkare bepeer nahi - jawab
Tarfa saman kiye hamko sathane keliye
Ek chadar nahi mayiath ke odane keliye - jawab

10)     Kehthe the peet ke sar ale payamber hai hai
Syede bekafan o goar ki dukhtar hai hai
Margayi soognashine shaye safdar hai hai
Hoga aisa na koyi bekaso bepar hai hai - jawab
Dare zinda ka nigheban bhi osdam roya
Shore matham jo sona hakime azlam roya - jawab

11)     Tha maraz aur ye mohtaaj thi bistar keliye
Na mayasar thi dava bekaso muztar keliye
Na diya tuna ye muhtaaj rahi sar keliye
Kaan par hath dhare rehthi thi gohar keliye - jawab
Margayi phir bhi aseeri ka guma bakhi hai
Reesma ka abhi shaneon me nisha bakhi hai - jawab