Zakhmi Jo Runme Fatima

- Miscellaneous (2014)


Zakhmi jo runme Fatima ka gulbadan howa
Aur purze purze tanme libase gohan howa
Gash pushthe zuljanah se sehahe zaman howa
Dasthe alam se chak nabi ka kafan howa - jawab
Zakhmeon ke meon se khoon ke dariya obal pade
Sar nange khabar se shahe mardan nikal pade - jawab

2)    Mazloom kahthe jatha tha mai begunah heon
Maro na mujhko sibthe risalath panah heon
Tum logeon ka khuda ki khasam khair kha heon
Is khaul par khuda ko me raktha gawah heon - jawab
Kuch rahem atha tha na kisi nabekar ko
Shamsheere marthe the garibud dayar ko - jawab

3)    Naiza laga jo seene pe tharra ke rehgaye
Baitha jo teer mathe pe tewra ke rehgaye
Girne lage jo hatheon ko latkake rehgaye
Shukre khuda zaban se farma ke rehgaye - jawab
Akbar na the julu me na Abbas paas the
Mazloom beech me tha adu aas paas the - jawab

4)    Seene pe bhala rakhke giraya Hussain ko
Ji bhar ke zalimeon ne sathaya Hussain ko
Girne pe khak toda banaya Hussain ko
Hai zulm ki ye had ke gash aya Hussain ko - jawab
Par dekhiyo hawas shahinshaye naik ke
Sajde me sarjhukadiya hatheon ko taik ke - jawab

5)    Dewdi pe aye sab harame badshahe deen
Boli ye peet peetke sar Zainabe hazee
Aya koyi yaha hai musalman ya nahi
Baitha hai kis buzurg ke seene pe ye layi - jawab
Ay ibne saad Fatima ka kunba rotha hai
Tho dekhtha hai bhai mera zibha hotha hai - jawab

6)    Bola umar ke roklo khaime ka samna
Ek ghaul ake khaime ke darpar khada howa
Is zulm se bas aur bhi Zainab ka dam ghuta
Fizza ko run me bheja ke Hazrath ko dekha - jawab
Makhthal ko wo badhi thi ke mudkar ek ah ki
Katthi hai bosa gahe risalath panah ki - jawab

7)    Pani wo mangthe hain pilatha nahi koyi
Is dard ko khayal me latha nahi koyi
Kya khaher hai ke paas bhi atha nahi koyi
Seene se behaya ko othatha nahi koyi - jawab
Ama tumhari peetthi hain bilbilathi hain
Wo bete se lipat thi hain huren chudathi hain - jawab

8)    Zainab ne baal kholke run ko khadam badhaye
Saidaniya bhi sath chali gardane jhukaye
Zainab pukari haye mere bhaijaan haye
Bhaiya pukarlo ye bahen kistaraf ko jaye - jawab
Bhejeon kise talash ko sab mere margaye
Ankhen bahan ko dhoondthi hai tum khidar gaye - jawab

9)     Nagha chale umarki taraf runse ehle shaam
Alfatha ki nida howi baje baje tamam
Wanse badhi jo bahi ki ashiq wo chand gaam
Besar mila thataptha howa lashaye imam - jawab
Jo waqthe zibha sibthe payember ka haal tha
Wo lashaye Hussain pe khawher ka haal tha - jawab