Run Se Jab Khake Sina

- Miscellaneous (2014)


Run se jab khake sina Akbare zeeshan aye
    Maa ki khidmath me koyi aan ke mehmaan aye
    Ghar me laashe ko liye shahe shaheedan aye
    Nohagar khak basar chaak garebaan aye - jawab
Di sada khathul huye Yusefe saani bano
Milgayi khak me Akbar ki jawani bano

2)     Dekh le akhri deedar pisar martha hai
Samne ankheon ke ye noore nazar martha hai
Abkoyi dam me mera rashke Qamar martha hai
Meon se bahar hai zaban tashna jigar martha hai - jawab
Dum hai seene mai ruka zakhmeon se kheon jari hai
    Shaher bano tera ghar lutne ki taiyaari hai

3)    Phonchi khaime me jo hazrath ki ye purdard sada
Muztarib hogaye naamuse rasoole dosare
Kaha chilla ke Sakina ne ke hai hai bhaiya
Fizza daudi suye dar phainkke sarpar se rida - jawab
Peetthi Zainabe muzthar nikal ayi bahar
Bano ghabrake khule sar nikal ayi bahar - jawab

4)     Shai ke khande pe jo dekhe Ali Akbar ko nidhal
Haath pehla ke ye chillayi ke hai hai mere laal
Kya gazab hogaya ay badhshahe nake khisaal
Raas aya na mere bache ko atharwan saal - jawab
Tukre thegeon se badan ho gaya sara hai hai
Kaun tha jisne mere shair ko mara hai hai - jawab

5)     Ruke bano se ye farmane lage sarware deen
Sarna peeto abhi zinda hai mera mahe jabeen
Saans athi ha pa har dam hai dame bazpasi
Kooch inka bhi hai aur ham bhi hai marne ke kharee - jawab
Sab chute ab na raha koyi hamara bano
Is jawan bete ke ghamne hame mara bano - jawab

6)     Kehke ye laashe pisar khaime me laye Sarwar
Hath Akbar ke sambhale tha koyi aur koyi sar
Shay ne farzand ko ahistha litaya jakar
Girke pehlu me thadapne lagi maa khasthe jigar - jawab
Kehthi thi dil pe sina zulm ki khayi beta
Ankh kholo nahi marthi hai ye dayi beta - jawab

7)     Sun ke mada ki sada khowl diye didaye num
Hath uthakar kaha rowo na mere sarki khasum
Paas akar hame chathi se lagalo isdum
Ran sa aye hai tumhari hi mulakhat ko hum - jawab
Phir ye ghar shah ke iqbaal se dekha ham ne
Par tumhe ake ajab haal se dekhe ham ne - jawab

8)    Baal bikhre hain kyon painkh di sarpar se rida
Neel kyon seene pe hai kyon hai garebaan phata
Khak kyon meon pe mali ho ye pisar tumpe fida
Shah duniya me salamath rahe ye kya ye kya - jawab
Lutgayi ye na sukhun meon se nikalo amma
Mai tho jeetha heon kaleje ko samhalo amma - jawab

9)    Zakhmi hone ki mere kisne khabar phonchaee
Jhoot hai mai ne tho hargiz nahi barchi khayi
Aap thak bete ko taqdeer salamath layi
Dekhe hazrath ke khadam than me mere jaan ayi - jawab
Marq se phele ho matham ye zabu hai amma
Mere kapdeon pe tho Abbas ka khoon hai amma - jawab

10)    Arzoo hai ke pahle phoole mera nakhle murad
Tum dulhan biyah ke lao mera ghar ho abaad
Dekhleon ankheon se apni me tumhari aulad
Phir mai duniya se jo guzreon tho rahe rooh bhi shaad - jawab
Dadi kehlaongi ruthba mera barthar hoga
Tera farzand bhi hamshakle payamber hoga - jawab

11)     Akhi sunke ye Akbar ne basad ranjo malal
Dard chathi me otha gair howa aur bhi haal
Dil me ye soonchke rone laga wa nail khisal
Ham safar karthe hain amma ko hai shaadi ka khayal - jawab
Bar me hoyega kafan khak pe chera hoga
Na dulhan hogi na aulaad na sehra hoga - jawab