Jis Dum Nageene Khatime
- Miscellaneous (2014)
Jis dum nageene khatime paighambara gira
Raunakh othi zamee se imame zama gira
Girne pe sab guroho liye barchiyaan gira
Hai hai na in jafaeon pe bhi asmaan gira - jawab
Zehra se poochiye ye khalaq noore ainka
Tapna zamee pe aur tadapna Hussain ka - jawab
2) Sab thumb gaye magar na thama shumere badshiyam
Sar peetne kija hai rakha osjaga khadum
Seena daba tho aur bhi tadpe shahe omam
Shoro fughan suna ossi halath me dam ba dam - jawab
Khathil se poocha dekh khidar ghul ye hotha hai
Hai hai Hussain kehke koyi runme rotha hai - jawab
3) Wo bola koyi hoga mai dekheon bhala khidar
Ab taig par nigha hai shairag pe hai nazar
Han jab sawar hone laga tha me seene par
Saidani ek nikli thi khaime se nagge sar - jawab
Is dam hamari fauj me tho eid hothi hai
Mujhko yakheen hai ye wohi bibi rothi hai - jawab
4) Shai bole aur koyi nahi ye bahen bahen
Ashiq bahen Hussain ki tashna dahen bahen
Bhooli hamare pyaar me maa ka chalan bahen
Balwa kahan kahan ye meri khas tha tan bahen - jawab
Kahthil pukara aage bhi baher ye ayi thi
Shai bole jab sina Ali Akbar ne khai thi - jawab
5) Wo rona be kasi ka wo ghabrana yaas ka
Wo thartharana dilka wo orna hawas ka
Kehna bilak bilak ke ye kalma hiras ka
Ay shumr waastha Ali Asghar ki pyaas ka - jawab
Lillaha theen roz ke pyaase ko chorde
Sadkha nabi ka onke nawase ko chorde - jawab
6) Thamja khuda ko maan habeebe khuda ko maan
Zehra ko maan hazrathe mushkil kusha ko maan
Saugande fikhro fakhaye aale aba ko maan
Apni rasool zadi ki thu iltega ko maan
Sare buzurg margaye mujh bad naseeb ke
Mera koyi nahi hai siwa is ghareeb ke - jawab
7) Sonpa kise bahen ko mai poochoongi bhai se
Pardase me bichad the ho Zehra ki jayi se
Ye bekhatha hai pooch le sari khudayi se
Dawa hai kya tujha meri ma ki kamayi se - jawab
Kuch qarz hotho baich ke ghar ko ada karoon
Samjhaon kistarah tujhe mai ah kya koron - jawab
8) Ay shumr mai gale se lagaleon tho zibha kar
Bhai se milke khaime me jaleon tho zibha kar
Kuch dard apne dilka sunaleon tho zibha kar
Syed ko khibla roo mai litaleon thu zibha kar - jawab
Pani tho bhooke pyaase ko ay badkhisaal de
Hai waqthe zibha ankheon pe kadpa tho dalde - jawab
9) Ye kehthe kehthe susth howi dam olat gaya
Sar peetthi ye rahgayi sar shai ka kat gaya
Yon laash par giri ke jigar sabka phat gaya
Bahen gale me dalke lasha lipat gaya - jawab
Maa ki tarha thi aashaqe shahe zaman bahen
Ye bhai bhai kehthi thi laasha bahen bahen - jawab