Jab Khathema Baqair Howa

- Miscellaneous (2014)


Jab kathema baqair howa fouje shah ka
Kosar pe qafela gaya pyaasi sipah ka
Ghar lutgaya janabe risalath panah ka
Qakh odhrahi thi haal ye tha baargha ka - jawab
Bhai the ne rafiq na wo nooreain the
Do behne rone wali thi aur ek husain the - jawab

2)     Deori wo subah takthe do rastha jahan sawaar
Qadim wahan tha koyi na rafeeqo yaar
Wo loo wo dopaher ki tapish aur wo ghubaar
Parda hawa se sar ko pataktha tha baar baar - jawab
Aafath thi bekasi thi mosibath thi yaas thi
Be fauj badesha tha deori udaas thi - jawab

3)     Farmathe the ke wah ye taaqeer aye ajal
Akbar ke baad kaunsa tha zeesth ka mahal
Ab mujhko ek baras ke baad hai ek paal
Mauth aye ab ye hai shajare zindagi ka phal - jawab
Ek ja shuri galeon pe jo chalthi tho khoob tha
Ye jaan onke sath nikalthi tho khoob tha - jawab

4)     Ham sabke baad qalk se jaane ko rehgaye
Sar peetne ko ashk bahane ko rehgaye
Is nawjawan ka daag thane ko rehgaye
Piri mai ah thokre khane ko rehgaye - jawab
Beta kahan qabar jo dame intheqaal le
Ithna nahi koyi ke gireon tho sambhal le - jawab

5)     Naghah sooye lashe pisar japadi nazar
Chillaye dil ko thaamke sulthane bherobar
Sothe ho kya dhare howe ruqsaar qakh par
Akbar othoke ke ghorese girtha hai ab pidar - jawab
Boole pidar ko neendh mai qurbaan apke
Aayo namaze asar padho sath baap ke - jawab

6)     Abbase naamdaar tarayi se othke aao
Phtha hai khalb jalrahe hain sab jigar ke gaao
Chidko meri zirape jo pani kahi se paao
Chalthe howe adam ke musafir se milthe jaao - jawab
Gaflath ki tumko neendh hai shabbeer kya kare
Meri tarah kisi ko na bekas khuda kare - jawab

7)     Chilaya foujko pisare saadenabekar
Lo ghairlo hussain ko sab milke ekbaar
Palte pare sawareon ke lekar risala daar
Do ghaul bandhe aye kamadaar das hazaar - jawab
Theer afghaneon mai thegeon mai bhaleon mai ghirgaye
Bekas husain bharchiyeon waleon mai ghir gaye - jawab

8)     Fariyaad hai wo fauj ke dal aur ek hussain
Wo beshumaar thegheon ke phal aur ek hussain
Wo teere jasithan wo jadal aur ek hussain
Wo sainkdo payame ajal aur ek hussain - jawab
Faujon me shaam ki maye taban ghira howa
Bekas bhi wo ke jisse zamana phira howa - jawab

9)     Kyonkar kaheon ke arshe khuda khaak par gira
Khairunissa ka mahe lakha khak par gira
Sartaje badesha gada khak par gira
Zeese olatke rahenuma khak par gira - jawab
Wo do hazar zakhm tane chaak chaak par
Kya guzri hogi jabke gire heonge khak par - jawab

10)     Fizza ne jake khaimeon me baywe ko di khabar
Hai hai mere khuzade ka kattha hai tanse sar
Bisthar se othke girpade sajjade nohagar
Khaime se nikli bibiyan bacheon ko chod par - jawab
Hiltha tha arsh hazrathe Zainab ke bain se
Gir gir ke daudhi thi ke milleon Hussain se - jawab

11)     Chillathi thi aray mera bhai hai kistaraf
Luti howi Ali ki kamayi hai kistaraf
Dariya kidhar hai khoon ka tarayi hai kistaraf
Sone ki ja Hussain ne payi hai kistaraf - jawab
Rastha de ay zameeka falak ki sathayi heon
Mai apne pyare bhai se milne ko ayi heon - jawab

12)     Mai syeda heon rahem karo laash ko bathao
Ay ahle khariya binthe Ali ki madad ko aao
Duniya me tum kushi raho okhba me chain pao
Syed kidhar hai khoon me ghaltha bathaye jao - jawab
Ya lutgaye falak ne ye dukh hampe dale hain
Ay bhaiyo Madeeno ke ham rehne wale hain - jawab

13)    Shay ke karahne ki jo ane lagi sada
Daudi odhar nabi ki nawasi barehna pa
Dekha bahen ne katthe huwe bhai ka gala
Ankheon pe hath rakhke giri binthe Murtuza - jawab
Gham se kaleja phat gaya Zehra ki jayi ka
Otthi tho deka naize pe sar apni bhai ka - jawab