Jab Gul Howa Chirage Haram Qaide Shaam Me

- Miscellaneous (2014)


Jab gul howa chirage haram qaide shaam me
Yane Sakina margayi yade imam me
Dekhe sitham yazeed ke darbare amm me
Shae ke salam ko gayi darus-salam me - jawab
Duniya me daadrus na mila daad kah ko
Jakar nisha tmancheon ke dikhlayi shah ko - jawab

2)     Ghul padgaya Hussain ki ashiq ne ki qaza
Bano ne nafz dekhi tho paya na dam zara
Chillayi sadqe jaon mujhe degayi dagha
Apni kahi na meri suni haye kya kiya - jawab
Asghar ko kuch payam bhi me ne diya nahi
Tum chal basi aur amma ne rukhsath kiya nahi - jawan

3)     Baba ki pyari amma ki pyari zaban ko khool
Layi heon sharbath ay meri pyasi dahan ko khool
Ma rorahi hai dedaye gohar fishan ko khool
Mehma bhande gale se na ja reesma ko khool - jawab
Dadi kodhengi bibi ki zulfe sawar leon
Lo otho ye patah howa kurtha othar leon - jawab

4)    Asghar ki bhooli bathen sunao neesar ma
Akbar ka zikr karke rolao neesar ma
Seli ka neel mako dikhao neesar ma
Baba ko jake darpe bulao neesar ma - jawab
Matham ke ghulghule hai na rone ke joosh hai
Bibi jo ab khamosh hai tho sab khamosh hai - jawab

5)     Meon dhapne ka waqt hai pichla pahar howa
Baba ko tere rothi heon oth sath de mera
Kurthe se meon ko dhapke pehlo me baitja
Amma ki beti amma ko awaz de suna - jawab
Matham sara ye ghar tha tere bain karne se
Zindan soona hogaya bibi ke marne se - jawab

6)     Yan kiske paas rehthi shahe karbala nahi
Bibi ke naaz othane ki khathirchacha nahi
Nadar ma hai paani nahi aur ghiza nahi
Par ab kafan ke wasthe mutlaq rida nahi - jawab
Amma ke paas rehne se eeza otha chuki
Bibi tamache kha chuki gardan bandha chuki - jawab

7)     Darpaish thi jo bibi ko mulke adam ki rah
Onrozon ma ka pyaar ziyada howa tha ah
Kehthi thi mujhse shaam ko phir honga tum tabah
Bawar na mujhko atha tha ay noore chasme jaan - jawab
Ab maa se tum bichadgayi kunbe se chutgayi
Samjhi thi tum me lutgayi wallah lutgayi - jawab

8)     Akbar juda na hothe the baba se ek dum
Asghar se aur tumse baheltha tha mera gham
Ab na omeed hogaye dono taraf se ham
Dukhiyare mere dukhki sada khayenge khasam - jawab
Taqdeer kaisi phirgayi mujh khastha haalki
Wo che mahine ke gaye tum chaar saal ki - jawab

9)     Baano ke bain sunke haram roye beshumaar
Sunkar ye ghul pukara yazeede jafa sheaar
Bhijwaya shey ka sar bhi aur onko nahi kharar
Ayi khabar ke baap pe beti howi nisaar - jawab

10)     Alkhissa is janaze ko lekar chale haram
Manind shamiyane ke khole howe haram
Jab makhbare me shaam ke ponche aseere gham
Aur khabr me othra wo murda ba chasme num - jawab
Balaye qabr ahle haram roye shor se
Awaz ayi bache ke rone ki goar se - jawab

11)     Jhuk jhuk se dekha bewon ne tho ye nazar pada
Baithe howe hain qabr me Sultane karbala
Asghar hai onki goad me khakar ko roraha
Zainab ne leke hatheon pe murde ko ye kaha - jawab
Apni nishani dukhtare khaibar shikan se lo
Lo bhaijaan apni amanath bahen se lo – jawab