Ibne Ali Jo Baghe Risalath Luta Chuka
- Miscellaneous (2014)
Ibne Ali jo baghe risalath luta chuka
Bhai ki aur baap ki daulath luta chuka
Poonji haram ki apni bizaath luta chuka
Sab kuch baraye bakhshishe umath luta chuka - jawab
Bakhi koyi shaheedeon ke dafthar me ab nahi
Juz Abide mareez koyi ghar me ab nahi - jawab
2) Tanha khade the fauj me shahe falak wikhar
Jo aayi chaar simath se phir fauje budhsheyar
Dekha ke hai niyam me Hyder ki zulfekhar
Jurath hoyi har ek ko badhkar lagaye waar - jawab
Yaade khuda me shah ne sab ko bhula diya
Jab zakhm khaya shuker kiya muskura diya - jawab
3) Muzthar na ho lage tho lage nawake sitham
Kuch gham nahi jo padthi hain talware dambadam
Maren na dam jo tanse ho sau baar sar khalum
Rahath ye dukh samajthe hain rahe khuda me ham - jawab
Paida howe hain dardo museebath ke wasthe
Ye sab khubool hai hame unath ke wasthe - jawab
4) Ye kehthe the ke sarpe lagi taighe aabdar
Naiza sina ka hogaya seene ke waar paar
Girne lage jo zeese imame falak wikhar
Baitha zamee pe taik ke ghutneon ko rah waar - jawab
Ghash me jigar pakad ke badardo alam gire
Sambala gaya na kahk pe shahe omam gire - jawab
5) Khanjar pakad ke shumer chala asthee chadhaye
Bola ye ibne saad ke khuli bhi sath jaye
Duno layee jo lashaye Sarwar ke paas aye
Pehloo se Fatima ne sada di ke haye haye - jawab
Kahnjar liye howe sitham eejaad aye hain
Chaunko Hussain zibha ko jalad aye hain - jawab
6) Bekas ka koyi yaar hai is dum na gham gusaar
Mushkil ki ye ghadi hai ke hai waqte ehthezaar
Kya kehrahe ho hoont jo hilthe hain baar baar
Behre madad Ali ko pukaro ye maa nisar - jawab
Bole Hussain zikre khuda karrahe hai hum
Umath ki maghferath ki duva karrahe hai hum - jawab
7) Kyonkar kaheon tathadule shumere sitham sheyar
Pyase gale pe shai ke rakhi teghe aab daar
Ghar se odhar nikal padi Zainab jigar figaar
Chillayi meon Nijaf ki taraf kerke ek baar - jawab
Halkhe Hussain kattha hai khanjur ki dhaar se
Ya Murthuza Ali nikal aao mazaar se - jawab
8) Ya shere kirdagaar olat do jahan ko
Fariyaad se hila do zamee aasmaan ko
Karthe hain zibha ahle sitham mehmaan ko
Ya Mustafa bachalo mere bhaijaan ko - jawab
Shamsheer chalne paye na pyaase ke halkh par
Rakhdije halkh apna nawase ke halkh par - jawab
9) Ye kehke suye mukhthale shahe umum chali
Meon apna peethi howi badardo gham chali
Othkar kabhi giri tho kabhi do khadam chali
Aur wa guluye shah pe teghe do dum chali - jawab
Phonchi tho khatema tha shahe mashrekain ka
Shumere layee ke hath me tha sar Hussain ka - jawab