Daulath Koyi Duniya Me
- Miscellaneous (2014)
Daulath koyi duniya me pisar se nahi behthar
Rahath koyi arame jigar se nahi behthar
Lazath koyi paakiza khamer se nahi behthar
Nikhath koyi booye gule tarse nahi behthar - jawab
Sadmeon me ilaje dile majrooh yahi hai
Reeha hai yahi rooh yahi rooh yahi hai – jawab
2) Malik se bhare ghar ke ojad jane ko poocho
Ghar waleon se ye tafrekha padjane ko poocho
Maa baap se kismath ke bigadjane ko poocho
Shabeer se Akbar ke bichad jane ko poocho - jawab
Allah na dikhlaye alam noore nazar ka
Behjatha hai ankheon se lahoo khalbo jigar ka – jawab
3) Jis waqt ke Akbar ko laga zakhm jigar ka
Seene me ruka aake dam osrashke khamar ka
Girthe howe ghode se khiyaal aya pidar ka
Chillaye ke ab kooch hai duniya se pisar ka - jawab
Bekas ki musafir ki khabar leejiye baba
Apne Ali Akbar ki madad kijiye baba – jawab
4) Bete ki sada sunke howa sadmaye janka
Ek hook kaleje me othi baith gaye shah
Maloom howa jaan chali ah ke hamrah
Dil thaam ke hatheon se kaha ya Asad-u-llah - jawab
Rang odgaya tha gesooweon pe gard padi thi
Teura ke jo sambhle tho basarath me kami thi – jawab
5) Chillaye bathado Ali Akbar kidhar ayen
Dhoonden tumhe ab baher me ya suye bar ayen
Bethab hai dil qalb me lashkar ke dar ayen
Tum oth nahi sakthe tho ham hi laash par ayen - jawab
Maa baap ke jeene ka maza legaye beta
Odha jo tumhara tha hame degaye beta - jawab
6) Beta hame phir ya abatha kehke pukaro
Mazloom o gareebul guraba kehke pukaro
Nashado girafthare bula kehke pukaro
Lab tashna o mazboohe khafa kehke pukaro - jawab
Jo waqt moyian hai wo hargiz na tale ga
Khanjar meri gardan pe isi tarha chale ga – jawab
7) Le aayi jo bethabiye dil laashe pisar par
Jhukthe hi nazar pehle padi zakhme jigar par
Ek teer laga qalbe shahe jino bashar par
Seene pe kabhi haath ko mara kabhi sar par - jawab
Opar ke dam os shair ko bharthe howe dekha
Baba ne jawan bete ko marthe howe dekha – jawab
8) Chillaye shahe dee Ali Akbar pidar aya
Otho mere pyare mere dilbar pidar aya
Tum dhoondthe the ay maye anwar pidar aya
Nashaad pidar bekaso bepar pidar aya - jawab
Kuch dilki kaho baath karo hoosh me aao
Sadkhe pidar aao meri aghoosh me aao – jawab
9) Meon khoole ho kyon teer ko gardeon se nikalon
Gar dard na ho hatheon se bazoo ko sambhaleon
Girtha hai pahad osko main kistarha se taleon
Marthe ose dekheon jise aghoosh me paleon - jawab
Bhe bhe ke lahoo me jigar atha hai tumhara
Seene se kalega nazar atha hai tumhara – jawab
10) Ghash me jo suni baap ki awaz pisar ne
Bas hatheon ko pehla diya os rashke qamar ne
Liptaya jo chaathi se shaye jinno bashar ne
Meon khoolke dikhlayi zaba tashna jigar ne - jawab
Farmaya ke khatra mere jaani nahi miltha
Majboor heon beta mujhe paani nahi miltha – jawab
11) Ye sunthe hi bas ankheon se ansoo howe jaari
Meon phairke dekha sooye sehra kayi baari
Ki arz huzoor ayi hai Zehra ki sawari
Phir dard otha seene me aur ghash howa tari - jawab
Khole howe ankheon ko musafir howe Akbar
Hichki ko bas ana tha ke akhir howe Akbar - jawab