Haa mai Abbas hu

- Meesum Abbas (2026)



Hasab nasab me hoon laa saani

Mushk o alam hain meri nishani

Hai mere shaanon mein bhi

Quwwat-e-Yazdani

 

Agar karun darya ko ishara

Khaimon mein aa jaye woh sara

Mere isharon par chalta hai darya ka pani

 

Lo jaan lo mujh ko, pehchan lo mujh ko

Haan main Abbas hoon, Abbas

 

Ayyo Hannas, Ayyo Hannas

Haan main Abbas hoon, haan main Abaas

 

Sun lo yeh ta’aruf mera

Main beta hoon Haider ka

Saqqa-e-Sakina mujh ko

Kehti hai yeh saari duniya

Main bazu-e-Sarwar hoon

Ghairat ka samandar hoon

Khud zaat mein lashkar hoon

Ayyo Hannas, Ayyo Hannas

 

Jab ghaiz mein waar karunga

Aisi yalghaar karunga

Ek laash ke do do tukray

Phir do ke chaar karunga

Mohlat hai sambhal jao

Kasrat pe na itrao

Mat sher se takrao

 

Salar hoon, Jarrar hoon, Haider hoon main

Haan main Abbas hoon, Abbas

 

Main ne jo khat kheench diya hai paar karun to jaanun

Mujh se aa kar aankh milao phir main tum ko maanun

Sabaq wohi Siffeen ka tum ko phir se yaad dilaun

 

Palat ke dharti, ulat ke darya

Tum ko ghaiz dikhaun

 

Yeh tegh yeh khanjar kya hai

Bas dekh lo tewar kya hai

Pairon se masal doon dharti

Nau lakh ka lashkar kya hai

Sar tan se uda doonga

Mitti mein mila doonga

Ek hashr macha doonga

Ayyo hannas Ayyo hannas

haan main Abbas hoon

Haan main Abbas

 

Main cheen ke tum se darya

Bhar loonga abhi mashkiza

Tum dekhte reh jaoge

Na rok sako ge rasta

 

Jo keh doon woh karta hoon

Kab maut se main darta hoon

Har baar yahi kehta hoon

Ayyo hannas Ayyo hannas haan main Abbas hoon

Haan main Abbas

 

Ek aankh mein teer laga tha

Shabbir ne jab woh nikala

Zaanu pe rakha jab sar ko

Ghazi ne kiya yeh nauha

 

Aankhon mein Sakina ka

Chehra hai mere Aaqa

Ab kaise yeh bolunga

Ayo Hannas, haan main Abbas hoon

Haan main Abbas

 

Woh sher-e-wafa ka paikar

Jab qatl hua darya par

Karti thin tarap kar Zainab

Yeh bain hi Meesum o Mazhar

Ho jaungi jab tanha

Tab khoon rulaega

Ae bhai tera kehna

 

Ayyo Hannas, haan main Abbas hoon

Haan main Abbas