Dashthe Bala Me Goom

- Miscellaneous (2014)


Dasthe bala me goom Ali Akbar ki laash hai
Farzande Fatima ko pisar ki talash hai
Daghe jigar ko nakhoone gham ki khirash hai
Sange alam se shishaye dil pash pash hai - jawab
Bano ko ghash hai ahle haram dard kidhar gaye
Hai hai pisar ki ghar me sadayen buland hain - jawab

2)     Chillathe hain ke baap ke pyare kidhar gaye
Ay noore chashm ankheon ke tare kidhar gaye
Ay meri zindagi ke sahare kidhar gaye
Phoncha ke ham ko gore kinare kidhar gaye - jawab
Andhair hai agar na rumhe payega pidar
Awaaz doge tumtho chala ayega pidar - jawab

3)     Kisja pe tum pade ho bathao pidar nisar
Awaz hamko apni sunao pidar nisar
Ham girpade hain ake othao pidar nisar
Chathi se phir pidar ko lagao pidar nisar - jawab
Rukhsath hai apne ghar ko zara dekh bhal lo
Lagjish hai hath paeon me Akbar sambhal lo - jawab

4)     Ay arze karbala mera dilbar kidhar gaya
Ay dasthe nainawa maye anwar kidhar gaya
Maqthal se ham shabiye payembar kidhar gaya
Ay nehre alkhama Ali Akbar kidhar gaya - jawab
Nikla heon main shaheed pisar ki talash ko
Bathla mujhe mere dure yaktha ki laash ko - jawab

5)     Ay fauje zulm bano ke dilbar ko kya kiya
Bekas ko tashnakaam ko bepar ko kya kiya
Ay zalimo shabiye payembar ko kya kiya
Miltha nahi mere Ali Akbar ko kya kiya - jawab
Lillah do patha ke bhatakthe hain rah mai
Shayed giradiya mere yusuf ko chah mai - jawab

6)     Ye kehke har taraf gaye bachashme ashkbaar
Lekin mila na laashaye farzande naamdaar
Khaime ki simth aaye jo rothe bahale zaar
Chillayi sarko peet ke fizza jigar figar - jawab
Ya shah mai bhi aneko thi fauje shaam mai
Milthi nahi hai Zainabe bekas khiyam mai - jawab

7)     Ye sunke khak orathe chale sarware zama
Ja phonche laashaye Ali Akbar pe naghan
Dekha ke binthe Fatima ba chashme khoon fishan
Karthi hai laashe Akbare mazloom par fughan - jawab
Na dosh par rida hai na rukh par naqab hai
Kaneon ke bunde hilthe hain ye izteraab hai - jawab

8)     Chillathi hai ke goodh ka pala kahan gaya
Ankheon ka noor ghar ka ojala kahan gaya
Chashm chirage syede wala kahan gaya
Mera wo lambe gesonwo wala kahan gaya - jawab
Do bete khoke paya tha is nonehaal ko
Barchi se kisne qathl kiya mere lalko - jawab

9)     Zainab ka haal dekhke roye shaye anaam
Khahar ke paas ake kiya istarah kalam
Dilko sambhalo abke ye hai sabrka mukhaam
Zinda hai ay bahen abhi shabeere tashna kaam - jawab
Tum jao mai othatha heon Akbar ki laash ko
Kahimai mai leke atha heon Akbar ki laash ko - jawab