Azeezo Zainabe Muzthar Ka

- Miscellaneous (2014)


Azeezo Zainabe muzthar ka aaj matham hai
Azeezo Zeenathe Hyder ka aaj matham hai
Ali ki ladli dukhthar ka aaj matham hai
Ghareeb shah ki khahar ka aaj matham hai - jawab
Sukoone khalab khuda ke habeeb ko deeje
Bahen ka pursa Hussaine ghareeb ko deeje - jawab

2)     Dubare khaid howe jabke Syede Sajad
Aseer karke sowe shaam lechale jalad
Tadap ke sath howi haye Zainabe nashaad
Nabi ke rauzaye akhdas pe jake ki fariyaad - jawab
Shaheed hogaya bhai Hussain ay nana
Magar nahi hai layeeno ko chain ay nana - jawab

3)     Phir aaj Abide bepar ke sath jathi heon
Yazeede nahes ko khaufe khuda dilathi heon
Khuda ne chaha tho is laal ko chudathi heon
Hayath bakhi agar hai tho wapas athi heon - jawab
Jo aye rahme mauth aap ayiye nana
Hamari laash pe anseon bahaiye heon - jawab

4)     Ye sunke othi gayi Fatima ke rauze par
Lipat ke khaber se kehne lagi ye khastha jigar
Otho otho meri amma ke ayi hai dukhthar
Aseer hogaya phir mera Abide muzthar - jawab
Tamam gharko ojada magar na chain aya
Dubara syede Sajjad par sitham dhaya - jawab

5)     Phira chuka tha sithamgaar darbadar amma
Dikhaya naize pe bhai ka mujhko sar amma
Madeena bheja tha ghar bar lootkar amma
Phir aaj hotha hai weeran sara ghar amma - jawab
Chala hai khaid me phir zainulabedeen hai hai
Rahegi chain se kya Zainabe hazee hai hai - jawab

6)     Rawane hogayi phir sooye shaam wawaila
Khamoosh rothe the chauthe imam wawaila
Azeez karthe the milkar tamam wawaila
Layee rawana howe taizgaam wawaila - jawab
Likha hai rahme ek manzile ghareeb ayi
Bathul zadiki hai hai khaza khareeb ayi - jawab

7)     Nazar khuzadi ki nagah os shajar pe padi
Ke jis me rakha tha farkhe Hussain ibne Ali
Tadap ke haye Hussaina kaha zamee pe giri
Othi sambhal ke tho fariyaad os shajar se ye ki - jawab
Kahan hai bhai mera ay shajar batha jaldi
Hussain ke liye rothi heon khak oda thu bhi – jawab

8)     Kalega agaya meon ko tadap raha tha jigar
Ziyarath shahe karbobala padhi rokar
Namaz padhne lagi jab ghareeb zaire shajar
Abhi othaya tha na haye haye sajde se sar - jawab
Sitham ka bailcha ibne thameem ne mara
Lahoo mussale pe bekas ka beh gaya sara - jawab

9)     Kamar khameeda kiye Zainul-Abedeen aye
Sambhal kar dile sad pash ko kharee aye
Ajeeb haal se lashe pe shahe dee aye
Kabhi tho charkh ko gah dekhthe zamee aye - jawab
Ek ah ki sare Zainab ko leke zanu par
Thadap gaye jo kaha kuch phoopi ne rorokar - jawab

10)     Adhu ka dais hai aur haye jan balab Zainab
Zaba se bath bhi karthi nahi hai an Zainab
Chali jahan se othaye kayi tauab Zainab
Sare shigaftha hi like sooye rab Zainab - jawab
Phir ayi puthliya behoosh hogayi bibi
Odao khak ke khamossh hogayi bibi - jawab

11)     Aseer syede Sajjad nafz dekhthe hain
Gareeb bekaso nashaad nafz dekthe hain
Hai waqthe nalao fariyaad nafz dekhthe hain
Nahi koyi paye imdaad nafz dekthe hain - jawab
Hatake hath zamee par lita ke rone lage
Amama khak pe sar se girake rone lage - jawab

12)     Hussain walo bathao kidhar gayi Zainab
Otha ke zulmo sitham kooch kargayi Zainab
Musaferath me jahan se guzar gayi Zainab
Hazaar haif ke ghurbath me margayi Zainab - jawab
Bas ek Abide muzthar hain khak adane ko
Hussain agaye markhad se laash othane ko - jawab