Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai
- Miscellaneous (2014)
Ay momeeno kya sakhth yateemee ki bala hai
Is zakhm ka marham hai na is ghamki dawa hai
Pocho tho yatheemon se ke ye wakhiya kya hai
Kis omr me ye dhaag Sakina ko mila hai - jawab
Jab khatimaye shahe sarafraaz howa tha
Likha haike chautha baras aaghaaz howa tha - jawab
2) Issin me koyi baap juda hona pisar se
Furqath howi tifli me Sakina ko pidar se
Pooche koyi ye dard yateemeon ke jigar se
Bachpan me pidar otha ho jin bacheon ke sar se - jawab
Aaghaz is andhoka anjaame khaza hai
Ye daaghe yateemee nahi paighame ghaza hai - jawab
3) Zindan me mukhiyaad jo howe sab harame shah
Anboho khalaekh howa darwaze pe nagah
Balwa howa is darja ke masdood howi rah
Sar sharm se zanjeer pe Abid ne rakha ah - jawab
Tha wo arakhe sharm aseereon ke badan me
Rotha tha har ek azoo ghame shahe zaman me - jawab
4) Mashghool jo the khail me athfaal wo saare
Kahthi thi Sakina wahan hasrath se nazare
Kehthi thi ke kya hogaye hamjoli hamare
Baba Ali Asghar ko kahan leke sidhare - jawab
Sab bachche yahan khailthe hain khanda zana hai
Me khailthi thi jinse wo athfaal kahan hai - jawab
5) Bhar bhar ke dame sard ye ki bano se gufthaar
Is bachche ko dekho thoke kya khush hai ye dildaar
Kya naame pidar pyaar se letha hai har ek baar
Ek ham hai ke hai baap ki furkhat me girafthar - jawab
Dil me jo mere dard hai khaliq pe ayan hai
Mai kisko kaheon baap mera baap kahan hai - jawab
6) Baba mere hothe tho onhe kehthi mai baba
Ab baap kahan jisko kaheon baap me dukhiya
Yon koyi pidar se beti se ghafil nahi hotha
Hairaan heon baba ke wo ashfaaq howe kya - jawab
Aada ne hame qaid kiya shaam me lakar
Baba mere kyon mujhko nahi dhoondthe akar - jawab
7) Ye kehke Sakina pe jo rikhath howi taari
Bas haaye pidar kehke kayi baar pukari
Tadpi jo zamee par tho zamee hil gayi saari
Jhinjhlake kaha shumr ne phir karthi hai zaari - jawab
Ab khoob rulaeonga tujhe mai na dareonga
Reh tujhko aseereon se juda qaid karonga - jawab
8) Phir shumr ne bazooye Sakina ko jo pakda
Kunbe ki taraf osne ajab yaas se dekha
Sab khaidiyon me ek khiyamath howi barpa
Sajjad ke khadmeon pe machal kar giri dukhiya - jawab
Yon lipti thi bhayi se wo is khaofo khathar me
Ek haath tho gardan me tha ek hath kamar me - jawab
9) Meon dekhke Sajjad ka kehthi thi wo darkar
Ab aap mere roneke zamin heon barather
Gartumse choti zeesth meri hoegi kyonkar
Ab roeon tho jo chahe kare shumre sithamgar - jawab
Bhaiya mujhe tho shumrse is waqt bachale
Ab royon tho kardeejio zalim ke hawale - jawab
10) Ab royi so mai royi na ab roeongi zinhar
Ab roeon agar baap ko apne tho gunahgaar
Farmao ke ab chod de mujhko ye jafakaar
Baazoo mera dukhne laga ay Abide beemar - jawab
Kistarah juda kunbe se howegi Sakina
Tum kehdo khasam khake na royegi Sakina - jawab
11) Ye kehthi thi kheencha jo sithamgar ne khazara
Kurtha tho phata tha wo phata aur bhi sara
Tab Abide beemar ne rokar ye pukara
Ay shumr ye bin baap ki bachchi hai khudara - jawab
Ghafil teri dehshath se na howegi Sakina
Ab aisi dari hai ke na royegi Sakina - jawab