Ahle Haram Pe Aaj

- Miscellaneous (2014)


Ahle haram pa aaj qiyamath ki rath hai
Jungle darawna hai ye wehshath ki rath hai
Hai hai yatheem rothe hain ghurbath ki rath hai
Sar par nahi Hussain ye furkhath ki rath hai - jawab
Khaime jale pade hain shahe mashrekhain ke
Miti pe aaj sothe hai bache Hussain ke - jawab

2)     Wo rath andheri aur wo maidane karbala
Lashe pade hain raith pe jinke hai sar juda
Ghurbath ye kehrahi hai ke in par howi jafa
Chadar odhaye kaun haram sab hain berida - jawab
Sar deke rahe hakh me yohi naam karthe hain
Din bhar ke hain thake howe araam karthe hain - jawab

3)    Shame ghariban karthi hai Zainab ajub fughan
Nalo se hilrahe hain zamee aur aasmaa
Hai hai Hussain kehke jo rothi hai neem jaa
Run me wahan tadapthi hai laashe shahe zama - jawab
Awaaz arahi hai bahen mai tere nisaar
Ay ghum gusaar mere yatheemo se hoshiyaar - jawab

4)    Banu ke bain hai Ali Asghar gaye kidhar
Jungle me sath chodage iski nathi khabar
Beta bathao hoyegi kyonkar mari basar
Ab tunko dhoondthi howi niklongi nage sar - jawab
Asghar me apne paas jo tumko na paongi
Sar peethi howi abhi maidan me aongi - jawab

5)     Beemar ek ghash me pada hai dawa nahi
Kaisi dawa ghareeb ko pani mila nahi
Shidath ka hai bukhar pa of thak kiya nahi
Sabir shukar kartha hai lab par gila nahi - jawab
Karwat badaina oske liye hogaya hai baar
Pehna diya hai zalimeon ne tauke khar daar - jawab

6)     Zainab ka sabar dekh ke hotha hai dil figar
Bacheon ko bibieon ko jama karke soogwaar
Taskee dilasa dethi hai bhai ki gham gusaar
Lekin Sakina poochthi hai roke baar baar - jawab
Baba kab ayenge phophi baba kab ayenge
Seene pe apne wo mujhe phir kab sulayenge - jawab

7)     Aap hi bathaiye phophi amma duhayi hai
Baba baigair mujhko kabhi neendh ayi hai
Hai rath andheri aur ye basthi parayi
Jungle mai maa se door mera chota bhai hai - jawab
Baba bularahe hain mujhe chodo jathi heon
Asghar ko apni goad me maidan se lathi heon - jawab

8)     Zainab ne pyaar karke yatheema Hussain ko
Godi me apni leliya os noreain ko
Boli zara tho keejiyo kam shoroshain ko
Kal subha dekhlogi shahe mashrekain ko - jawab
Behlayi yon phoophi ke wo khamosh hogayi
Ghurbath se maa ke zanu pe sar rakhke sogayi - jawab

9)     Guzri hai adhi rath falak bhi hai nohagar
Girthe hai tare tootke maninde ashk tar
Aur chupke chupke rothi hai ek bibi nange sar
Hai chobe khaima hath mai bandhi howi kamar - jawab
Kati hai rath ankheon pe Zehra ki gulezaar
Masroof hai talaye mai bhai ki soogwar - jawab

10)     Awaaz ayi ghodeke tapeon ki nagahan
Dekha sawar atha hai is simath be takan
Badkar pukari kaun hai kya kaam hai yahan
Waris hamare khathal howe lutgaye make - jawab
Allah hai gawah nahi paas malo zar
Chadar hamari chingayi aur ham hai nange sar - jawab

11)     Lekin badhaye ghode ko atha tha wo sawar
Zainab ke paas rokliya ake rahwaar
Olti nakhab chere se othra wo shesawar
Beti ke samne the khade shaire kirdagar - jawab
Hai khak sarpe thame kaleje ko aye hain
Pursa bahen ko bhai ka dene ko aye hain - jawab

12)     Pehla ke hath baap se Zainab lipat gayi
Ro ro ke kehthi thi meri kismath olat gayi
Bakhi jo panjethan ki nishani thi mit gayi
Baba mai apne bhai se jungle me chut gayi - jawab
Amma ka ghar bhara howa barbad hogaya
Sehra jo karbala ka tha abad hogaya - jawab

13)     Rokar kaha Ali ne ho qurbaan ye pidar
Sorahio thodi dairke hothi hai ab saher
Darpaish subha ko hai tumhe shaam ka safar
Darbar me yazeed ke jana hai nange sar - jawab
Mushkil kusha heon zulm ye dekhe na jayenge
Beti rasan se hath tere bandhe jayenge - jawab

14)     Ayi sadaye Fatima fariyaad ya Ali
Khethi hamari hogayi barbaad ya Ali
Mushkil kushaye kalkh ho do daad ya Ali
Bacheon pe mere hogayi bedaad ya Ali - jawab
Abaad karbala howi ghar mera lut gaya
Zainab hai berida sare Shabeer kat gaya - jawab