Ghar Say Jab Bahre Safar

- Miscellaneous (2014)


1)    Ghar Se Jab Bahre Safer Syeda Alam Nikle
Sar Jhukae Huve Badeedae Pur num Nikle
Quesho Farzand kamar baand kay baham Nikle
Rokay Farmaya kay is Shaher se ab hum Nikle- Jawab
Raat Se Giryae Zehra ki sada aati hai
Dekhein Qismat Hamein kis dasht main lejati hai - Jawab

2)    Ruq Kiya Shah ne sue qabre Shahinshae anam
Bahr Tasleem jhuike Muttasile babe salam
Izn padkar jo gaye qabr ke nazdik Imam
Arz ki aaya hai aaj aakhri Ruksat kou Ghulam- Jawab
Yea Makaan hum se ab ai shahe zaman choot tha hia
Aaj Hazrat kay Nawase say watan choot tha hai – Jawab

3)    Chaain Se Sub hai gharon main mujhe milta nahi chain
Saqt aafat main hai ab apkaa ye noorul aain
Tukde dil hota hai jab rokay haram karte hai bain
Nanhay Bachcho kou bhala lekay kidhar jayea Hussain – Jawab
Shahr mein Chain na Jungle main amaan milti hai
Dekhiyea Qabr musafir kou kahan milti hai – Jawab

4)    Ab mere sar ke liye teiz hue hain khanjar
Ahle keen Shar pe kamar Bandhe Hain ya qaire bashar
Aapne di thi isi roze ki Amma ko Qabar
Waleda roye thee do roz talak peet ke sar – Jawab
Is Nawase ko magar bhool n jana Hazrat
Zibha ke waqt madad karne ko aana Hazrat – Jawab

5)    Yea who din hai kay parinde bhi nahien chordte Ghar
Mujh ko dar pesh hain in rozon main aafat ka safar
Hai kaheen Qatl ka Samaan kabhi  lut jaane ka dar
Saat hai bachon ka ay Badeshahhe Jinoo Bashar– Jawab
Tang jeene se hoon paas apnay bulalo Naana
Apani Turbat main Nawase kou Chipalo Nana – Jawab

6)    Yea Bayan Karkay Jo Taveez Say Liptay Sarwar
Youn Hilli Qabr ke tharrai Zaree e anwar
Aayi turbat se ye awaazey habib –e dawar
Teri Gurbat kay main Sadqe Meray Mazloom pisar– Jawab
Koyi samja na meri Gooud kaa Paala tujko
Hai aada nae Madinay say Nikala Tujko. – Jawab

7)    Aai Mere Gaysuon o wale mere Sabir Shabbir
Mere bekas mere Mazloom Musafir Shabbir
Na Raha koye tera yawar o nasir Shabbir
Hai Ai gor –e-gareeba kay mujver shabbir – Jawab
Tu jaahain Jayeaga Pyare wahin chalta Hoon main
Khaak Udataa huva Turbat say Nikalta Hoon Main – Jawab

8)    Kayee din Say Teri Maadar kou Nahi qabr main Chain
Aaye thi Shab kou mera paas yea Karti huvi Bain
Ghar mera Lut taa hai Faryaad Rasool us Saqlain
Subha kou apan watan Chord ke Jaata hai Hussain– Jawab
Kahne aayi hoon ke muh Qabr se modungi main
Apnay Bache ko akela thou na Chodongi main – Jawab

9)    Sunkey Yea Shah Nay Kiya aakhri Ruksat ka Salam
Nikle rote huve jab roza –e Anwar say Imam
Sheh Se usdam Yeh Kiya ro ro ke Zainab nay Kalam
Qabr Par Maa ki Mujay Laychalo Ya Shahey anam – Jawab
Log Hamrah hai mahmihein kyou kar Roowo
Maa ki turbat say phir ek baat lipat kar roowoh. – Jawab

10)    Maa ki turbat pe gayea Shah ba chashme qoon baar
Utri Mahmil se basad ah o fugahaan Zainabe Zaar
Dourd Kar Qabr Se Lipte Jo Imame Abraar
Haat Zehra ke Lahad Se Nikal aayea Ek baar  – Jawab
Aayi Aawaz Na Ro Dil ko Qalaq Hota hai
Qabr Hilti hai Kaleja mera Shaq Hota Hai – Jawab

11)    Haan Bulawo Mera Abbas e-Dilawar hai Kidhar
Wo fida Hai mere Bache pe main sadqe Uspar
Shikam e-ghair se hai par who wera hai pisar
Yea Sad sun ke biradar ko pukare Sarwar – Jawab
Abhi Rahwar ko aage na badhao Bhai
Yaad Farmati hai Amma idhar aawo bhai  – Jawab

12)    Aake Abbas nay Sar Rakhdia Paeene Mazaar
Aayi Zehra Ki Sada Mein Teri Gurbat Ke Nisar
Apne Pyaron Ke Barabar Mein Tujhe Karti Hou Pyar
Dhayaan Bhai ki Hifaazat ka rahe aai Dildaar  – Jawab
Kohi Gurbat main Usay Maar na daale Baita
Mera Shabbir Hai ub Teray Hawley Baita. – Jawab