Sab ujad jaayega zehra
- Miscellaneous (2014)
sab ujar jaayega zehra ka makaan
asr ke baad
Hoga shabbir ke khaymo me dhua asr ke baad
subhe aashur to de di ali akbar ne azaan
kaun dega bhala maghrib ki azaan
asr ke baad
Kam se kam hai abhi beemar ka bistar baaki
Warna taqdeer me aaram kaha asr ke baad
Aye sakina tere kaano se lahu tapkega
Honge chehre pe tamacho ke nishaan asr ke baad
Apna dil kaise sambhalegi Ali ki beti
Ran me royegi jo shabbir ki maa asr ke baad
laash abbas ki dariya pe tarap jaayegi
jab bhi uthegi sakina ki fugaan
asr ke baad
haaye maasum sakina to tarap jaayegi
kaun samjhega yatimaan ki zabaan
asr ke baad
Roklo apna qalam chum ke rakhlo nayyar
Kaise likhoge ghamon ka ye bayan asr ke baad