Ay mere jawaan akbar

- Irfan Haider (2005)


Ay mere jawaan akbar

Noha kare maa laashe akbar par, aray tum qatl huwe beta, jeeti rahi madar

(Ay mere jawaan akbar) x2

  1. Veeran huwa beta tere baad mera ghar
  2. (Ay mere jawaan akbar) x2

  3. Kya tujhko teri maa ne is din ke liye paalaa,
  4. Is maa ko zaeefi me kyu chor gaye beta

    (Ay mere jawaan akbar) x2

  5. Maa roti hai laashe pe tere aaj khule sar
  6. (Ay mere jawaan akbar) x2

  7. Kehti thi phuphi zainab jab pyaha rachaugi
  8. Akbar teri dulhan ki poshak banaugi

    (Ay mere jawaan akbar) x2

  9. afsos kafan bhi na tujhe aya mayassar
  10. (Ay mere jawaan akbar) x2

  11. bimar behen sughra tapti hai tera rasta
  12. pardes me akar kyu bhool gaye wada

    (Ay mere jawaan akbar) x2

  13. itna bhi nahi socha ke marjayegi khwahar
  14. (Ay mere jawaan akbar) x2

  15. Hamshakle nabi tumko kehta ta jahaan saraa
  16. Zainab tere laashe par karti hai yahi nawha

    (Ay mere jawaan akbar) x2

  17. nana ki ziyarat ko tarasjaungi dilbar
  18. (Ay mere jawaan akbar) x2

  19. har dil ne kiya nawha har aankh huwi purnam
  20. kohram hai khaymo me janat me bapa matam

    (Ay mere jawaan akbar) x2

  21. aur khaak urha te hai yahi kehke payambar
  22. (Ay mere jawaan akbar) x2

  23. phupiyan bhi tarap ti hai hamsheer bhi madar bhi
  24. dada bhi tere roye shabbir bhi shabbar bhi

    (Ay mere jawaan akbar) x2

  25. sadaat ke khaymon me qayamat ka hai manzar
  26. (Ay mere jawaan akbar) x2

  27. jab koyi jawaan laash nazar ayegi beta
  28. wa yaar tujhe karke tarap jayegi beta

    (Ay mere jawaan akbar) x2

  29. ek roz teri yaad me marjayegi madar

(Ay mere jawaan akbar) x2