Hussainiyat zindabaad
- Shadman Raza (2012)
hussainiyat zindabaad
hussain hussain hussain hussain
karbala ke dasht ki hai dastaan hussainiyat
hai hamaare khoon me rawaan rawaan hussainiyat
hai jahaan jahaan khuda wahaan wahaan hussainiyat
hogi kaayenaat me zabaan zabaan hussainiyat
zindabaad thi zindabaad hai
zindabaad zindabaad hai hussainiyat
zindabaad zindabaad zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
1. Shaamil jo hai khun me karbala
kyun haar jaayenge ham hosla
tufaan beh lenge khud raasta
dengi duaayen hame sayyada
chalta rahega yun hi silsila..(2)
ruk na sakega kabhi qaafela
hoga ye sheh ka gham zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
2. Ek mashvara ehle dunya suno
zillat ki ye zindagi chhod do
shabbir ke raaste partchalo
chaahe badan pe ye sar ho na ho
ye dars detaa hai farshe azaa..(2)
hurr ban ke karlo abhi faisla
haq pe ho to kaho zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
3. Tum bomb dhamaake karo jaa ba jaa
maatam ko tum rok sakte ho kya
taarikh parh ke to dekho zaraa
hujjaaj se badh ke zaalim ho kya
ae naasiraane shahe karbala..(2)
allah mohammad ali fatema
kyun na phir ham kahen zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
4. Ye daaghe maatam to aizaz hai
maatam nahi fath ka saaz hai
ye to shahidon ki aawaaz hai
qudrat ka ye ek haseen raaz hai
zinda hai kyun aaj tak karbala..(2)
ye raaz jis par ayaan ho gaya
us bashar ne kaha zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
5. Ye maatami misle mukhtaar hain
har waqt marne ko tayyaar hain
khushyon me gham ke talabgaar hain
baatil pe ham misle talwaar hain
jo hai hussaini who marta nahin..(2)
haq baat kehne se darta nahin
kehte hain jism o jaan zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
6. Binte nabi ka ye armaan tha
ghar ghar me maatam ho shabbir ka
armaan bibi ka puraa huwa
hai aaj ghar ghar me farshe azaa
hai shaadman aur mazhar sadaa..(2)
lab pe rahegi yehi ek sadaa
zindabaad zindabaad zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
7. Jab tak wafa saans karti rahengi
sajaayenge ghar ghar me abbas ka ham alam
maatam ko ye haath uthte rahenge ghame
shaah me aankh rakhenge har waqt nam
chalta rahega yun hi silsila..(2)
ruk na sakenge ye ehle azaa
hoga ye sheh ka gham zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
8. Karbobala ka jo paighaam hai wo sunaayenge
dunya ko har haal me nauhakhaan
pehnake khud apne lakhte jigar ko kafan
in juluson me khud bhej deti hain maan
dekha ye imaan ye hosala..(2)
taarikh daano ko kehna parha
gham ka ye kaarvaan zindabaad
hussainiyat zindabaad..hussain
Taarikh de rahi hai ye aawaaz dam ba dam
dashte sabaa to azm hai dashte balaa o gham
sabre masih ho jurrate suqraat ki qasam
is raah me hai sirf (ek insaan ka qadam)..(2)
jiski raghon me aatishe badr o honayn hai
us surma ka isme gheraami hussain hai
hussain ya hussain
Shore rajaz baland hua vaar ho gaya
lehje se gharm khaak ka baazaar ho gaya
roze oruje shaam shabe taar ho gaya
nikla jo mun se harf (wo talwaar ho gaya)..(2)
ehle jafaa ki maut ka farmaan aa gaya
dashte balaa me nuh ka tufaan aa gaya
hussain ya hussain
Maskan jo the ghuroor ke wo sar jhuka diye
eiwaane khusrawi ke parakche urhaa diye
lab teshnagi ne khun ke darya baha diye
pyaase ne aabe tegh ke (johar dikha diye)..(2)
eiwane shar me aag lagi khaak ho gaya
saare yazidiyon ka jigar chaak ho gaya
hussain ya hussain
Pal bhar me saans ehle jafaa ki ukhad gayi
bay'at talab yazeed ki surat bigad gayi
daste khuda se qismate shaahi udhad gayi
haydar ki tegh sina e (baatil me gad gayi)..(2)
haq ne rag-e saqifa ki chhalwal nikaal di
paa e bani umayya me zanjeer daal di
hussain ya hussain
utthi nigaah chehra e baatil jhulas gaya
ek naag ke himmate aadaa ko dhas gaya
paa taal me saqifa e ehle hawas gaya
aadaa pe zulfeqaar ka (paani baras gaya)..(2)
haybat se nariyo ka lahu sard ho gaya
bay'at talab yazeed ka mun zard gaya
hussain ya hussain
is haadese pe aaj bhi giryaan hain behr o bar
allah ye talaatume pur haul yu hai shar
ye kapre al hafiz ye udwaane al hazar
paani si chiz band hai (wo bhi hussain par)..(2)
maula kisi pe koyi na aisi jafaa kare
kaafir pe bhi na band ho paani khuda kare
hussain ya hussain
zarraat mehve naal o fughaan gharqe shoro shain
tapti huwi zameen pe akbar sa noore ayn
ek bezubaan ki laash pe seidaaniyon ke bayn
ay waay bar tabaahi e (mazlumi e hussain)..(2)
khaime ke dar ko dida e girya kiye huwe
zainab khari thi baal pareshaan kiye huwe
hussain ya hussain
hawwa khadi thi sar se utaare huwe rida
takraa rahi thi baare mashiyat se karbala
aur farsh tha namuna e mehshar bana huwa
gunji huwi thi dasht me (zehra ki ye sadaa)..(2)
sun le sadaa ay baare khuda shoro shain ki
parwardigaar ho khair ho mere hussain ki
hussain ya hussain..(4)