Sakina ka shaana

- Shahid Baltistani (2008)


Haaye zindaan jabke dukhtare shabbir mar gayi
Baazu hilake baanue nawshaad ne kaha
bibi padar ke sar se uthao to sar zara
baate abhi to karti thi aasu baha baha
saakit hai nabzo gaaye gazab sard dasto paa
muh dekhte hi zist ka naksha badal gaya
kis waqt saas ruk gayi kab dam nikal gaya

Maa sakina ka shaana hilaati rahi..

Maut bachi ko loree sunaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

1) Ab na kholay gi aankhain yateema kabhi
Jaanti hai Sakina ko neendh aagayi
Phir bhi taqdeer ko aazmati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

2) Be yateemi ki hai kaifiyat kis kadar
Sochti hai kai baaqi hai jaa se magar
Zindagi apna daman churaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

3) Paani layai kahan sai woh is kai liyai
Tashna lab hai Sakina khabar hai usai
Pyaas haunton pai aanso giraati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

4) Apni gaudi main mayat uthayai huwai
Maujazai ki umeedain lagayai huwai
Syedda ki kahani sunaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

5) Ro rahi thi zameen ro raha tha falaq
Waqt-e-talkeen sai waqt-e-tadfeen tak
Minnatain ker kai us ko uthaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

6) Thi takallum woh ulfat ki kaisai ghari
Jab andhairai main bachi ki mayyat uthi
Qabar nanhi si Zainab banaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi