Na des apna hai

- Irfan Haider (2005)


Karbala se chali eik bekas behen. 
Bhaayi se aalam-e-gurbat watan yaad aya. 
Sab shaheedo ko kehti huwi alvida. 
Bhaayi ki laash pe pohnchi to kafan yaad aya. 
Khud ko naake se giraakar Zainab kehne lagi roro kar. 
Na deys apna hai, na log apne hai - 2

Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

1. Ye dekh zara ay tashnadahan, 
shaano ko mere jakre hai rasan, 
Aur uspe sitam hai, sar par nahi chadar, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar

2. Kal saath tere har ghaam chali, 
ab qaydi huwi aur shaam chali, 
is dard ke maare roti hu khule sare, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

3. Baba hai ameer-e-kauno maka, 
hai tera laqab sardar-e-jinaa, 
zainab too huwi hai bechadar beghar, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

4. Ay bhaayi teri ghurbat ki kasam, 
ta marg nahi bhulungi ye gham, 
pardes mei aakar, na khaa hai labo par, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

5. Kya zulm sahe tujh ko hai khabar, 
hai aun-o-muhammad khaak basar, 
ab tumse nahi hai, paani bhi mayassar, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

6. Hota jo madina bhaayi mere, 
mil jaata kafan mazloom tujhe, 
is dasht-e-bala mei, majboor hai khwaahar, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

7. Aye kushta-e-tegh-e-zulm bata, 
jab koi mera yawar na raha, 
maqtool-e-jafaa hai, abbas aur akbar, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

8. Kya kya na huwi zainab pe jafaa, 
sab khayme jale asbaab luta, 
par sab se bada hai, ye gham mere dil par, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

9. Irfan aur Mazhar kehna sake, 
jo bint-e-ali ne bayn kiye, 
phat'ta hai kaleja, is baat ko sunkar, 
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

As-salaam alayka ya Sayyed-o-shuhadaa