woh husain mera hai

- Shaheed Sibte Jafar (2012)


woh husain mera hai..
zeest jiski baandhi hai, woh husain mera hai
Maut jispa marti hai, woh husain mera hai
jiski sab khudai hai, woh husain mera hai

1. Kibriya bhi uska hai, ambiya bhi uske hai
awsiya bhi uske hai, awliya bhi uske hai
khalq saari jiski hai, woh husain mera hai

2. Aisa kiski naami hai, aisa kiska naama hai
ek ka sadqa kauna maka, ek arab ki malka hai
jo waqar e hasti hai, woh husain mera hai

3. Daadi jiski binte asad, aur jadd abu talib
maa hai fatima zahra, baap ka laqab ghalib
jo wurude nasli hai, woh husain mera hai

4. Jiske darr par aae malak apni jholiya phailaye
jiske darr se fitrus bhi aake baalo par lejaye
rizwa jiska darzi hai, woh husain mera hai

5. Jiske daste qudrat me baagh hai nabuwat ki
deen ka to kehna kya jab ke khud mashiyat bhi
kalma jiska padhti hai, woh husain mera hai

6. Jiske waaste naaqa bangaye ho khud sarwar
tool de de sajde ko hukme rab se paighambar
jo khuda ki marzi hai, woh husain mera hai

7. Saat(7) bete rahib ko bakhshe apne tiflee me
ek habib hi ko kya deen ko zaeefi me
jisne zindagi di hai, woh husain mera hai

8. Fikr ummate jadd ki jisko thi tahe khanjar
ki tilawate qura'a jisne nauke naiza par
deen jisse baqi hai, woh husain mera hai

10. Kuch nahi yaha tafreeq rang o nasl o mazhab ki
ek sabka maslak hai ek qaumiyat sabki
bazm ye husaini hai, woh husain mera hai

11. Haath katgaye fir bhi behro bar pa qabza hai
qabza karke darya par aaj bhi to pyaasa hai
jiska aisa bhai hai, woh husain mera hai

12. Jab mulukiyat ki naqaab tifl odh kar aaya
jisne barsare darbaar usko be naqaab kiya
jiski khwahar aisi hai, wo husain mera hai

13. Sibt e jafar ek shayar, soz khane aale nabi
usko izzat o shohrat panjetan ke darr se mili
jiska faiz jaari hai, wo husain mera hai