Aaye ho qabr pe mere to zara baitho to

- Waseem Rizvi (2009)


Aye ho kabr pe meri to zara baitho to (2)

Mere baba k azadaro mera hal suno,
kon hu kiski yatima hu mai ye jante ho
Tum to apno mai ho rutba, mera pehchan te ho…

Aye ho kabr pe meri to zara baitho to, Mere baba k azadaro mera hal suno (2)

1. Aaj roza hai jahan kal tha wahi ek zindan,
asia zindan k lazar jati thi ruhe insaan,
Tum jo ate ho to palbhar ko ye ghar lagta hai,
warna zindan se mujhe aaj bhi dar lagta hai…

Aye ho kabr pe meri to zara baitho to, Mere baba k azadaro mera hal suno (2)

2. Pao zakhmi hai mere aaj bhi zakhmi sar hai,
chur zakhmo se hu kurta bhi lahoo mai tar hai,
Daro diwaar pe manzar wahi lehraega,
gor se dekho mera khoon nazar aaega…

Aye ho kabr pe meri to zara baitho to, Mere baba k azadaro mera hal suno (2)

3. Mai tadap ti hi rahi mujhko mera ghar na mila,
margayi or mujhe sina e sarwar na mila,
tum samajhte ho bohot chain se soti hu mai,
apne baba k liye aaj bhi roti hu mai…

Aye ho kabr pe meri to zara baitho to, Mere baba k azadaro mera hal suno (2)

4. Are baad mudaat k mila hukme rehaii lekin,
sab watan aa-hi gaye mai nahi aai lekin,
dil pe ek daag judaai ka uthana hi pada,
chhod kar haye meri maa ko bhi jana hi pada…

Aye ho kabr pe meri to zara baitho to, Mere baba k azadaro mera hal suno (2)

5. Khoon ho jata hai sadme se kaleja mera,
yaad ata hai mujhe aaj bhi kunba mera,
tumhi insaaf karo kya ye sitaam kehte hai,
kya meri umr k bacche bhi alag rehta hai…

Aye ho kabr pe meri to zara baitho to, Mere baba k azadaro mera hal suno (2)

6. Khaab dekha tha bohot roi thi ghabrai thi,
yaad to hoga mujhe kaisa kaza ayi thi,
hil nahi sakta tha jo kaisa chala aya tha,
kis tarah mujh ko mere bhai ne dafnaya tha…

Aye ho kabr pe meri to zara baitho to, Mere baba k azadaro mera hal suno (2)

7. Dukh uthti hai mere dil mai jab ata hai khayal,
aaj rote ho mere gam mai basad ranjo malal,
kal jo tum hote to ye haal na hone dete,
lashe baba ki bhi pamal na hone dete…

Aye ho kabr pe meri to zara baitho to,
Mere baba k azadaro mera hal suno (2)

8. Aye ho meri ziyarat ko sada saad raho,
Ae fasil ayi sada kabr se abad raho,
dastan maine masayab ki suna di meri,
aab chale jao k ane ko hai dadi meri…

Ab bhi zindan se sakina ye sada deti hai,
Meri turbat meri gurbat ka pata deti hai.