Ali ke sabr ki taqat dikhai Zainab ne

- Miscellaneous (2014)


1 Ali ke sabr ki taqat dikhai Zainab ne
Jawaa Bhatije ki mayat uthai Zainab ne

2 Khuda ke deen ki kismet jagayi Zainab ne
Qareeb garq thi kashti bachayi Zainab ne

3 Hai jisme ulfat-e-Shabbir farz ummat par
Wahi hadise payambar sunayi Zainab ne

4 Nizame haq ko mukammil kiya asiri me
Kinare deen ki kashti lagayi Zainab ne

5 Agar Husain ne sar apna rahe haq me diya
Khuda ke naam pe de di kalayi Zainab ne

6 Khuda ke deen ki azmat samjegi duniya
Badal di sabr se saari Khudayi Zainab ne

7 Tadapte dekhe zamin par jo bhai ke bache
Jali qanaat dobara lagai Zainab ne

8 Baraste ashko se kufre yazid ke deewar
Buland hone se pehle girayi Zainab ne

9 Kalame paak sambhala Hadeese padti rahi
Rasool-e-haq ki Shariyat bachayi Zainab ne

10 Wo Arbaina ka din tha jo Karbala pauchi
Gale se bhai ki turbat lagayi Zainab ne

11 Aseer hoke watan tak naa phir mila araam
Qadam qadam pe musibat uthai Zainab ne

12 Aapko dekhkar kehte hai zamaane waale
Aise hote hai Mohammad ke gharane waale

13 Nind se chuki Sakina to kahaa rote hue
Aao baba mujhe sine pe sulaane waale

14 Shah ki laash pe Zainab ne kaha ro ro kar
Chal base bhai mere naaz uthaane waale

15 Ai Husain ibne Ali sibte Rasool-e-do sara
Rehnuma tujhsa zamane me na hoga na hua

16 Subha Ashoor ko jo dee thi Ali Akbar ne Azaa
Hashra tak goonjegi kaano me wo aawaz-e-azaa