Ali Ali Haay Ali

- Miscellaneous (2014)


1 Teg jo gaazi pe utthi
Shamma Imamat ki bujhi
Uth gaya damad-e-Nabi
Shor hai kufe mein yahi
Ali Ali Haay Ali x2

2 Kehti hai mehraabe harram
Sajdae Khaliq ki kasam
Sar pe padhi tege sitam
Khoo me qab-aa doob gayi
Ali Ali Haay Ali x2

3 Bibiya karti hai fuqaan
Ho gaya andher jahaa
Haaye tumhe paaye kahaa
Ay gule gulzaare Nabi
Ali Ali Haay Ali x2

4 Dahar se moo mod gaye
Kispe hame chod gaye
Sheeshaye dil tod gaye
Kuch to kaho haq ke wali
Ali Ali Haay Ali x2

5 Khaak pe Zainab hai udhar
Kahti hai Kulsum idhar
Uth gaye duniya se pidar
Maot hame naa aa gayi
Ali Ali Haay Ali x2

6 Thaam ke Abbas jigar
Kehte hai baa deedaye tar
Haay shahe Jinno Bashar
Sarwar-e-Aalam ke wasee
Ali Ali Haay Ali x2

7 They yahi Sarwar ke sukhan
Aao chalo bhai Hasan
Aap ko dena hai kafan
Hashra huwa laash uthi
Ali Ali Haay Ali x2

8 Shaah ka taaboot utha
Uthaa gayi ashro ki -------
Gam se falak ttot padaa
Sadr zami kaap gayi
Ali Ali Haay Ali x2