Pehchaano khudara
- Irfan Haider (2005)
Pehchaano khudara
Haay, zindaa(n) ki qayd kaatke, jab saniy-e-zehra, ponchi watan to koi bhi pehchaan na paaya, are abdullah bin jaffar-e-tayyar ne puche, tu kon hai kya naam hai tera zaeefa, Ye sunke fugaa karne lagi saniy-e-zehra, are zawja hu aap ki mujhe pehchaano khudara, (mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
- (Pehchaano khudara) x2 Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- Baalo ki safedi ka sabab pucho na mujhse, in ankho ne dekhe hai sitam karbobala ke, ghar lut gaya sadaat, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- Chehre se numaya jo mere karbobala hai, ye haal to Abbas ke marne se huwa hai, chuta wo sahara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- Ik zakhm hai qasim ka mere kalb-o-jigar me, jo chaand ujaalo ka sabab tha mere ghar mei, wo bhi gaya mara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- Bas bhaayi ki matam mei rahi qayd bhi kaati, leykin mei kabhi awn-o-muhammad ko na rowi, ab deti hu pursa, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- Bazaar mei abid pe zaeefi huwi taari, wo aaj bhi rota hai aseeri pe hamari, ghamkhwaar hamara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- Are sadaat ke halke me mujhe aake chupaaya, jab shaam ke hakim ne mera naam pukaara, us ranj ne maara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- Shiree(n) se mulakat huwi raah mei ik baar, pehchaan nahi paayi mujhe wo bhi dilakar, dil roke pukaara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- Sab ghayr kujaara hai damishkaar kuja mei, karbal se chali hogaye khud karbobala mei, zulmat ka safar tha, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- "Irfan" ye alfaaz jo "Mazhar" ne likhe hai, insaan to kya cheez hai patthar ko rula de, jaise ke ye jumla pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
- (Pehchaano khudara) x2 Mujhe jit-e-ji gham-e-shabbir ne maara
- (Pehchaano khudara) x2 Mujhe jit-e-ji gham-e-shabbir ne maara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2