Ghabrayegi Zainab

- Miscellaneous (2014)


Ghabraaegi Zainab x 4
Bhaiyya tumhe ghar jaake kahaan paaegi Zainab
Ghabraaegi Zainab

1.Kaisa yeh bhara ghar hua barbaar ilaahi,
Kya aayi tabaahi..  x 2
Ab isko naa aabaad kabhi paaegi Zainab

2.Phat jaaega bass dekhte hee ghar ko kaleja,
Yaad aaoge bhaiyya..  x 2
Dil dhoondega tumko toh kahaan paaegi Zainab

3.Bin bachhon ki kehlaayi toh kehlaayi main lekin,
Yeh kaise hai mumkin.. x 2
Bin bhai ki kehlaai toh marr jaaegi Zainab

4.Poochhenge jo sab log ke baazu pa hua kya,
Yeh Neel hai kaisa..  x 2
Kis kisko nishaa rassi ke dikhlaaegi Zainab

5.Ghar jaake kise dekhegi Qasim hai Abbas,
Akbar bhi nahi paas..  x 2
Apne Ali Asgar ko kahaan paaegi Zainab

6.Beparda hui qaid bhi khaahar ne uthaayi,
Par maut na aayi,  x 2
Kya jaaniye kya kya abhi dukh paaegi Zainab..
Ghabraaegi Zainab..