Aye dashte karbala

- Miscellaneous (2014)


Aie Dasht e Karbala   x 2
Dasht e Karbala
Teri zamee pe khoo bahaa mere Hussain ka..
Aie Dasht e Karbala, Dash e Karbala
Quran bach gaya Shahe Deen ka gala kata..
Aie Dasht e Karbala..

1.Ashoor ka woh roz qayamat ka roz tha,
Yeh roz imtehaan e imamat ka roz tha,
Farzand e Mustufa ki shahadat ka roz tha,
Yaani ke zer e teg ibadat ka roz tha,Aie dasht e Karbala,Dasht e Karbala,Pyasa shaheed ho gaya Mazloom e Karbala..

2.Ek dopahar me gulshan e Zehra figaa hua,
Suraj lab e faraat sitam ka ayaan hua,
Khayma jala Hussain ka jalkar dhuan hua,
Pyasa shaheed dasht me ek bezubaan hua,
Aie Dashte...
Dekha toh hoga too me bhi jhula jala hua..

3.Paamaal teri khaakh pe qasim ka tha badan,
Tann par libaas shaadi ka uske bana kafan,
Ek shab me bewa ho gayi maqtool ki dulhan,
Marqaz me khaakh udaate the girya kuna Hasan,
Aie Dashte...
Sehra Hasan ke laal ka tukdon mein batt gaya..

4.Nok e sina se seena e Akbar hua figaar,
Zainab kaleja thaam ke kehti thi baar baar,
Kyukar sina hui nahi Zainab ke dilke paar,
Aie laal kaise paalne waali ko ho qaraar,
Aie Dashte...
Kaise jiye woh jiska jawaan laal marr gaya..

5.Be Dasht hoke nahar pe Abbas gir gaye,
Farke Alam se pyaaso ke chehre utar gaye,
Jis dum suna Sakina ne Abbas marr gaye,
Boli woh roke ai mere Ammu kidhar gaye,
Aie Dashte...
Pyaso ke haal e zaar pe roti thi Alqama..

6.Shaam e Gariba aayi toh manzar ajeeb tha,
Shehzaadiyon ke sar se utaar gayi rida,
Masnad jali rasool ki har khayma jal gaya,
Jibreel aake arsh se dete the yeh sada,
Aie Dashte...
Aal e Nabi pe Zulm o Sitam kii hai intehaan..

7.Beemaar o Natawaan jo aseer e jafa hua,
Zindaan e shaam ke liye phir kaafela chala,
Naizo se sar shaheedon ke karte rahe buka,
Durron se zakhm dete the abid ko ashkiyaan,
Aie Dashte...
Marqaz mein khaakh udaane lagi Binte Mustafa..

8.Rehan aur Kashif e matam kusaar bhi,
Nauha kuna hai ashq fisha sogwaar bhi,
Farshe aza pe kehte hain sabh pursadaar bhi,
Ro-enge taaba hashr duroon e mazaar bhi,
Aie Dashte...
Yaa Rab mile na gham gham e Shabbir ke siwa..

Aie Dasht e Karbala,Dasht e Karbala Teri zameen pe khoon baha mere Hussain ka..