Haye Haye Haye Ali akbar

- Fatema Ladak (2010)


Ai haay haay Ali Akbar
Kehti thi yeh Maa khoo bhari Mayyat se lipat kar
Ai Haay haay...

1.Armaan tha pehnaaungi poshaakh shahaani,
Afsos k raas aayi na tujhko yeh jawani,
Kaisa tha muqaddar

2.Yeh zakhm kaleje ka Payambar ko dikhaana,
Yeh sookhi zabaan Saqi e Kauthar ko dikhaana,
Ai tashnaa e kauthar

3.Atthaara baras paalke Parwaan chadhaaya,
Wo Gesuon waala hai mera khoon me nahaaya..
Yeh kya hua dilbar..

4.Pehle toh ek awaaz me utth jaate the beta,
Abh itni sadaaon pe bhi pehlu nahi badla..
Kya ho gaya Dilbar

5.Tum hichkiyan le leke jo dum todd rahe ho,
Mooh maa se hamesha k liye modd rahe ho,
Kyu roothhe ho dilbar

6.Tehro toh main athaarvi mannat toh badha loon,
Phir leke balaaein tumhe jeene ki dua doon,
Sadqe ho yeh madar..

7.Aaye jo hume lootne khaimo me sitamgar,
Maa degi sadaaein Ali Akbar Ali Akbar,
Chhin jaaegi chaadar..

8.Itna toh zara tehro tumhe dulha bana loon,
Bass ek jhalak sehre ki sugra ko dikhaa doon,
Woh tehri hai dar par

9.Maa teri judaai mein bhala kaise jee-egi,
Mar jaaegi Sugra jo khabar teri sunegi,
Abh Kya karoo jee kar..

10.Jab koi jawaan laash nazar aati hai Mehshar,
Bass yaad soo-e Karbobala jaati hai Mehshar,
Dil rota hai kehkar..