Allaho Akbar Ya Hussain

- Sajid Jaffri (2012)


ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

Zere khanjar Ya Hussain(2)
Noke sina par Ya Hussain....
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

1) Marhala hai faisle ka muntazir Tauhid hai,
Karde sajda ek raazi, par khuda ki deed hai
Sabse badtar Ya Hussain(2)
Kul ke barabar Ya Hussain
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

2)De chuka tu sar kata kar taa abad deen ko amaa,
Ruk gayi jumbish zamee ki kaap utha aasman,
Rab pukara kab hai koi(2)
Tera humsar Ya Hussain
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

3) Noke naiza ke musafir tu azeemo sarbuland,
Bibiyon ke sar khule hai kyu teri ankhein hai band,
Aankh hai Sajjad ki(2)
Khun Ka samandar Ya Hussain
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

4) Akhri sajda woh tera aur musalla Karbala,
Roze Ashura hua kaabe ka qibla Karbala,
Karbala hai woh jahan(2)
Bikhra tera ghar Ya Hussain
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

5) Sin fakad cheh maah ka dekho magar uska Shaoor,
Janta hai teer khaakar muskurana hai zaroor,
Fatahe Karbobala hai(2)
Tera Asghar ya Hussain
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

6) Isne kis tarha sameta Qasime naushah ko,
Isne kis tarha se roka lab pe aati aah ko,
Ek- ek tukda pukara(2)
Aahein karkar Ya Hussain
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

7) Ye agar mehshar nahi hai phir bhala mehshar hai kya,
Hai khule sar binte Zehra ye hai mehshar se siva,
Gair ki har ek nazar hai(2)
Misle khanjar Ya Hussain
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)

8) Lehed me "Abid" se tere kya sawaal aur kya jawab,
Saath rakhwalunga sirhane mai nauhe ki kitaab,
Kuch nahi likha hai likha(2)
Zindagi bhar Ya Hussain
ALLAHU AKBAR YA HUSSAIN(4)