Shaam Ne Maar Diya

- Syed Raza Abbas Zaidi (2009)


rauze pe nabi ke aake, shano ke neel dihkake
zainab ye buka karti thi
haye nana shaam ne maar diya hai

dukh sham e ghariban ke sehkar zinda rahi ghazi ki khwahar
jab barse aseero par pathar sar ghazi ka naize se gira
shaam ne maar diya hai
haye nana....

akbar ka jigar chalni dekha saabir ki behan ne sabr kiya
durro se badan zakhmi tha mera mai chup thi magar mehboob e khuda
shaam ne maar diya hai
haye nana....

jab aun o mohamed qatl hue shabbir utha laaye laashe
mai shukr ke karti thi sajde sar ooncha mera bachon ne kiya
shaam ne maar diya hai
haye nana....

daman may utha kar jab shaahe huda jab qasim ka laaye laasha
chup chup ke kiya maine girya gham apna kabhi zaahir na kiya
shaam ne maar diya hai
haye nana....

kyun mar na gayi ab sochti hoo abid ka baha jab aankh se khoon
zinda rahi mai bechain o sukoon sham aagaya jis dam maine suna
shaam ne maar diya hai
haye nana....

tar khoon may hua asghar ka gala tha teer bhi uske khad se bada
bano ko dilaasa maine diya karti rahi mai be-taygh [wigha]
shaam ne maar diya hai
haye nana....

us shehre sitam may ay nana kya tumse kahoo kya haal hua
fizza ko kisi ne kuch na kaha durro ki mili zainab ko saza
shaam ne maar diya hai
haye nana....

sughra ne sakina ko poocha mai kya kehti rone ke siwa
jab usne bahot majboor kiya tab sar ko jhukaye maine kaha
shaam ne maar diya hai
haye nana....

jo sher e khuda ki beti thi abbas ke tewar rakhti thi
jo maut se bhi ek pal na dari us bibi ko rehaan o raza
shaam ne maar diya hai
haye nana....