Meri Bachi Ka Rakhna
- Syed Raza Abbas Zaidi (2009)
zainab meri bachi ka rakhna khayal
ye sakina jo hai mere dil ka sukoon
baad mere bahaye aankhon se khoon
khaak par soyegi is qadar royegi
mil na payegi ab hum se mar kar kabhi
zainab meri bachi....
kamsini bekasi aur ye tashnagi
aur uspar aziyat tamachon ki bhi
seh na payegi ye gham uthayegi ye
humse maqtal may milne ko aayegi ye
zainab meri bachi....
khoon tapkega kano se bhi is qadar
hoga daman meri shahzadi ka tar
zakhm dil may liye ashk kab tak piye
ay behan ay behan tum khuda ke liye
zainab meri bachi....
apne pehlu may shab ko sulana isay
khud na jaage to tum na jagana isay
hai meri ilteja mai to marne chala
badhne dena na rassi may iska gala
zainab meri bachi....
baad e abbas pani ye maaange agar
apne seene se liptake tum iska sar
ay behan nohagar karke aanchal ko tar
rakhna pyasi sakina ke ruqsaar par
zainab meri bachi....
pa barehna safar ki ye aadi nahi
shaam ki raah may hogi jalti zameen
jab ye paidal chale paon jalne lagay
apni godhi may lekar lagana galay
zainab meri bachi....
shimr nazdeek na aaye iske kabhi
ussay darti bahot hai meri laadli
wo hai itna shaki kam hai haiwan bhi
zulm dhaye na wo dekho is par kabhi
zainab meri bachi....
isko maange kaneezi may koi agar
taygh khutbo ki darbar may khaynch kar
hona seena sitam ghaiz ki ho nazar
girna kehre khuda banke darbar par
zainab meri bachi....
gham se rehaan hota hai tukde jigar
ay raza guzri kya hogi abbas par
haye zindan may gham ke toofan may
aayi hogi sada sheh ki jab kaan may
zainab meri bachi....