Laasha Jari Ka
- Syed Raza Abbas Zaidi (2010)
laasha jari ka qaimay may laaya na ja saka
pyason ki tashnagi ko bujhaya na ja saka
sheh bolay bhai humse khafa hogaye ho kya
dekho hamari simt hilao to lab zara
kyun bhai kehke humko bhulaya na ja saka
laasha jari ka....
zaanu pe sar rakhay hue rotay rahe imam
ghazi tadap ke bolay fida aap par ghulam
kidmat ka haq bhi hum se chukaya na ja saka
laasha jari ka....
zakhmi meri sakina ka mashkeeza hogaya
maula ab iske baad mai jee kar karunga kya
afsos haye waada nibhaya na ja saka
laasha jari ka....
qaimay ki simt jaane ki baakhi rahi na taab
sheh bolay doonga ky mai sakina ko ab jawab
ghazi nahi ye raaz chupaya na ja saka
laasha jari ka....
baazu kata ke nehr pe abbas sogaye
maula hussain dasht may be-aas hogaye
bhai ko haale dil bhi sunaya na ja saka
laasha jari ka....
jeeti hai jung kisne bata dashte nainawa
kiska tawaf karti hai khud nehre alqama
qabza samar jari se chudaya na ja saka
laasha jari ka....