Kyun Na Roye Sajjad

- Syed Raza Abbas Zaidi (2010)


sajjad rehaai paakar bhi, pardes se ghar ko aa kar bhi
jab ashk bahate rehte thay, zainab se dukh dekhe na gaye
ek roz tadap ye poocha, sajjad tu kab tak royega
us waqt mere maula ne kaha

amma apne muqaddar par, sughra ke sawalo par
kyun na roye sajjad

ay meri phupi insaf tu kar naize pe jo dekhe baap ka sar
ho saath safar may wo jisne cheera tha ali akbar ka jigar
durro ki saza milti ho jahan bachon ko ashk bahane par
kyun na roye sajjad....

tum chup chup kar khoon roti ho mai roun to kyun kehti ho
roya na karo ay laal mere bhai ko gawakar baithi hoo
masoom behan ko zindan may jo chor ke tanha aaya ghar
kyun na roye sajjad....

naize se gira abbas ka sar mai dekh chuka hoo wo manzar
darbar may mai kyun mar na gaya jab naam tumhara le le kar
kehta tha layeen zainab hai kahan le aao yahan par be-chadar
kyun na roye sajjad....

sab qatl hue mai zinda hoo bemaar sahi lad sakta tha
sharminda hoo mai asghar se wo teer e sitam se ladh to gaya
wo teer mere kyunkar na laga jis teer se ghayal tha asghar
kyun na roye sajjad....

kyun saamne sughra ke jaun behtar to yehi hai mar jaun
tum zinda ho akbar na raha wo pooche to kya batlaun
kya sabr karo kya zapt karoo hai zakhm bahot dil ke andar
kyun na roye sajjad....

sar tasht may tha baba ka rakha aur taqt pe qaatil baitha tha
dandaane mubarak par unke khush hoke chadi wo maarta tha
afsos mai kuch bhi kar na saka ab tak hai usi se dard e jigar
kyun na roye sajjad....

rehan o raza rotay rehna is dehr may hai jab tak jeena
nauhon ki azaane de de kar har shaks se ye kehte rehna
be gor o kafan masoom behan zindan may ho jiske haathon par
kyun na roye sajjad....