sajjad se pucho

- Irfan Haider (2006)


sajjad se pucho

(Sajjad se pucho) x2

Zainab ne jo puchi gayi, rudad-e-safar ki, dil thaam ke, kehne lagi, ye Zainab-e-muztar

(Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho) x2

  1. Maghmoom aseeri ka, khula shaam mei jaakar
  2. Jab nawha kuna nok-e-sina par huwe sarwar

    Bhayya ne jo nawha kiya, yasrab ke makeeno

    Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

  3. Mehfooz hai ankho(n) mei, aziyyat ke wo lam hai
  4. Sadaat khule sar the tamashayi khare the

    Us dard ki shiddat ko agar poochna chaaho

    Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

  5. The haath passe pusht bandhe sar mei pari khaak
  6. Sadmo(n)ho se kaleje the gharebaa(n) ki tarha chaak

    Ay logo mile zakhm jo un aaho(n) kham to

    Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

  7. Jab girta tha Abbas ka sar nok-e-sina se
  8. Kya is ka sabab hai jo laee(n) poochne aate

    Mei kehti thi mujhse nahi, ye baat laeeno(n)

    Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

  9. Patthar kahi barsaaye gaye ehl-e-haram par
  10. Baghi kabhi kehlayi gayi aal-e-payambar

    Afsos yahi hai ke musalmaa(n) the sabi to

    Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

  11. Jab girgayi naake se mere bhaayi ki dukhtar
  12. Wo neza ruka jispe rakha tha sar-e-sarwar

    Us dam jo aziyyat huwi awlaad-e-nabi ko

    Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

  13. Jab milgayi zindaa(n) se aseero(n) ko rihaayi
  14. Ghar jaayenge na jaaye kaho Fatema jaayi

    Rokar kaha Zainab ne ke mujhse nahi paano

    Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

  15. Jab "Mazhar-o-Irfan" kiya Sughra ne nawha

Zainab ki zaeefi ka sabab maa(n) se jo pucha

Maa(n) kehne lagi roke kaleje ko sambhaalo

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho