Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain

- Ali Safdar (2014)


Husain Husain Husain Husain Ya Husain

Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain
Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

1. Dohai dohai khudara dohai
Ye dashte bala me hai kesi tabahi
bahaya hai kisne ye khoone mohd
qayamat ye dhai hai kisne ilaahi
jawano buzurgo ko maara gaya hai
shahido me shamil hai nanha sipahi   
Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain
Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne
shahido ke laasho pe danke bajae
jala daale aale mohd ke khaime
sakina ke mu par tamache lagaye
jo beemar tha uska bistar na choda
nabi zadiyo par bhi durre chalaye
Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain
Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

3. Uthi apne marqad se binte mohd
siyah shab ki chadar me chehra chupakar
gayi karbala me to usne ye dekha
hai bosida kurte me ek laashe besar
badan saara teero se chalni pada hai
lahu me hai dooba hua saara paikar
Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain
Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)
 
4. tadap kar wo chillai shabbir beta
lahu me nahaye ho sar bhi juda hai
tabar kisne maare hai saare badan par
ye teero pe kisne janaza rakha hai
kaha hai mera laal abbas bolo
mai puchungi usse ye kese hua hai
Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain
Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

5. Sada sunke zahra ki tharrae ghazi
juda tan se sar tha to shane kate the
ghamo yaas o hasrat me majrooho muztar
kahe kya ke darya kanare pade the
sue alqama ab jo bibi ne dekha
batao ke sahil pe thande pade the
Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain
Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

6. Idhar dard o ghum ki satai thi zainab
jo wehshat ke jungle me haider bani thi
kabhi khaak udati kabhi ashk piti
jo kunbe ke pehre pe tanha khadi thi
sakina ke saqqa ko aawaz dekar
ghame shahedeen me buka kar rhi thi
Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain
Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

7. guzarish hai aaqa hamari yahi
humko roze pe maula bula lijiye
humko zawwar maula bana lijiye
humko daaman me maula chupa lijiye
giraftar zoro-sitam hum hue hai
musibat se humko bacha lijiye
Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain
Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2)

8. kabhi dil me deti wo maa ko sadae
kabhi roke kehti ke baba kaha ho
shahido ka nauha tha uske zaba par
abad kis tarah uske ghum ka baya ho
hume bhi sa'adat ho nusrat ki hasil
khudara zahoore imame zama ho

Husain Husain Husain Husain
Husain Husain Ya Husain