Allahu akbar

- Irfan Haider (2007)


Allahu akbar

(Allahu akbar Allahu akbar) x2

(Subhe aashoor zara sun azaan-e-akbar hai) x2

  1. Laila ke phool ki
  2. shakle rasool ki

    Azaane aakhir hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Ashhadu al-la illaha illallah) x2

  3. Bol-e-Hussain sun kar takbeer ki sada ko
  4. Bejang tumne Akbar jeeta hai karbala ko

    Lehjaa ye Mustafa ka ab gunjta rahega

    Jo tere lab par hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Ashhadu anna Muhammadur rasoolullah) x2

  5. Sar par kafan sajaaye hein sab ba sab namaazi
  6. Sun kar azaan iqaamat kehne lage hein ghazi

    Hein mutma'in imamat nazdeek hai shahadat

    Ye subhe mehshar he

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    Ashhadu anna Alliyun Waliyullah

    Ashhadu anna Alliyun Hujjatullah

  7. Kya azm hosla hai ansar shah-e-dee(n) ka
  8. He us taraf jafaayein sajda idhar yaqee(n) ka

    Teeron ka abr barsa jaari hai phir bhi sajda

    Ajeeb manzar hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar hai

    (Allahu Akbar) x2

    (Hayya Alas Salaah) x2

  9. Jhoole mein sone waala bedaar hochuka he
  10. Nusrat ko shah-e-dee(n) ki tayyar hochuka he

    Maa kehrahi hai beta be teygh jang karna

    Ye hukm-e-maadar he

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Hayya Alal falaah) x2

  11. Zainab bhi laadlon ko apne saja rahi hai
  12. Ibn-e-Hasan ko farwa dulha banaa rahi hai

    Naad-e-ali hai lab par sar par dua ki chaadar

    Ye sheh ka lashkar hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Hayya Ala Khairil amal) x2

  13. Pyaason ko apni jaanib darya bulaa raha hai
  14. Lekin har eik pyaasa maqtal ko jaa raha hai

    Na khof hai na dar hai har ek ko ye khabar hai

    Ye raahe kausar hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Allahu Akbar) x2

  15. "Rehan" ke qalam se "Irfan" tera lehja,
    nowho(n) me dhal ke ubhre tute na ab ye rishta,
    is par dua-e-zehra har dam kiye hai saya
    ye aisa shaa'ir hai

Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

(La illaha illallah) x2