Aawaaz do aye Ali Akbar

- Kazmi Brothers (2026)



Aina Aina Ali Akbar (a.s.)

Aawaaz do aye Ali Akbar, aawaaz do - 3

Jaati hai meri jaan
Maqtal mein hai dhuan
Beta ho tum kahaan

Maara hai kis tarah se tumhein sochta hoon main
Patthar hata hata ke tumhein dhoondta hoon main
Chaaron taraf hai khoon
Milta nahin sukoon
Laashon ke darmiyaan

Kuch bhi dikhayi deta nahin, main ghareeb hoon
Khushboo se lag raha hai tumhare qareeb hoon
Aye mere dil ke chain
Baba ke noor-e-ain
Ab na lo imtehaan

Main ne suna hai ghode se tum khud nahin gire
Aye mere laal, baalon se khencha gaya tumhein
Tum ho yahin kahin
Kyun bolte nahin
Khamosh hai zabaan

Kaise gire ho mujh ko batao to zeen se
Lagta hai tum ne khaayi hai barchhi laeen se
Chehra bhi zard hai
Seene mein dard hai
Kuch to karo bayaan

Maqtal mein aate aate bhi maara gaya mujhe
Dooba hua hoon khoon mein patthar ke zakhm se
Zakhmi hai yeh jigar
Dekho mere pisar
Chehre pe hain nishaan

Himmat karo zara si kaleje ko thaam kar
Hai waqt-e-Asr, jaago mere naujawaan pisar
Laila ki aas hai
Zainab udaas hai
Do aakhri azaan

Tum khud Ali ho beta, zara hausla karo
Badhne laga hai dard to Nade Ali padho
Aankhein hain meri nam
Sughra ki hai qasam
Ragdo na aidiyan

Do maon ne jawaan kiya tum ko paal kar
Khaimon mein ja ke kaise milaunga main nazar
Main unse kya kahoon
Bahta hai tera khoon
Kaise sahegi maa

Azlaan ro ke kehta raha yeh mera Imam
Beta hamare haal pe hansti hai fauj-e-Shaam
Dhundla hai sab jahaan
Hai surkh aasmaan
Chalti hain aandhiyaan