Karbobala naseeb se jaana naseeb ho

- Mir Hasan Mir (2006)


Karbobala naseeb se jaana naseeb ho

Karbobalaa naseeb se jaanaa naseeb ho
Phir lauT ke wahaaN se na aanaa naseeb ho

Aisaa dar e hussain pe sajdaa ho aakhri
Phir mujhko apnaa sar na uthaanaa naseeb ho

Parvardigaar thokarein dar dar ki kab talak
ab mustaqil najaf mein Thikaanaa naseeb ho

Jaisaa milaa naseeb se ummul baneen ko
Ab kyaa kisi ko aisaa gharaanaa naseeb ho

Dil chaahtaa hai saamne baithey ho panjetan
Unki sanaa unhi ko sunaanaa naseeb ho

AaNkhoN ko jab bhi ashq bahaanaa naseeb ho
Aal e nabi ke gham kaa bahaanaa naseeb ho

Mehshar ye aarzoo hai ki be ghusl o be kafan
Karbobalaa ki teh meN samaanaa naseeb ho