Sar apna dare fatema zehra pe jukakar

- Irfan Haider (2007)


yaa raaziya yaa marziya khairunnisa yaa umme abiiha 4

sar apna dare fatema zahra pe jhukakar
jo maangnaa hai maang jo karni hai dua kar

1 is vird se khulte hai ataao ke dareeche....
raaziya marziya fatema zahra
mil jaaega hasnain ka sadqa bhi yahi se
maayus na ho aur naa muqaddar se gilaa kar
jo maangnaa hai maang jo karni hai dua kar

2 aakar yaha jibreel bhi karta hai yahi baat
raaziya marziya fatema zahra
inki hi ijaazat se badalte hai dino raat
aangan mei sitaaro ne bataaya hai yeh aakar
jo maangnaa hai maang jo karni hai dua kar

3 is vird ko tasbih samajte hai abuzar
raaziya marziya fatema zahra
miqdad ho salman ho ammar yaa qambar
paigaam sunaate hai zamaane ko bataakar
jo maangnaa hai maang jo karni hai dua kar

4 rehtaa hai hamaawaqt farishton ka wazeefa
raaziya marziya fatema zahra
khushnudiye maabood kaa bus hai yeh tareeka
quran ke alfaaz batate hai sunakar
jo maangnaa hai maang jo karni hai dua kar

5 in lafzon se bahlol ne paaye hai khazaane
raaziya marziya fatema zahra
is ghar ke bade naaz uthaaye hai khuda ne
bahlol ki tarha isi dehleez pe aakar
jo maangnaa hai maang jo karni hai dua kar

6 yeh naam wazeefa hai waseela hai ataa hai
raaziya marziya fatema zahra
yeh naam toh insaan k har gham ki dawaa hai
is naam ki hurmat ko zara dil me basaa kar
jo maangnaa hai maang jo karni hai dua kar

7 haa mazharo irfaan kaa imaan yahi hai
raaziya marziya fatema zahra
is aalame islaam se ailaan yahi hai
tanhaayi me jab apne gunaaho ko ginaa kar
jo maangnaa hai maang jo karni hai dua kar

yaa raaziya yaa marziya khairunnisa yaa umme abiiha 4