Aap kya jaane Fatema kya hai

- Shadman Raza (2008)


Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya, Adila,

Sajida Hura Batool e O Zara x2

Surah e Qadr ka yeh nara hai

Ap kya janeey Fatima kya hai

Jis ko Mukhtar e amr kehthay hain

Jis ki ratoon ko qadr kehthay hain

Subho ko jis ki Fajar kehthay hain

Shaam ko jis ki asr kehthay hain

Har zamanay pay jis ka qabza hain

Ap kya janey Fatima kya hai x2

Qadr jis ko sada qaza nay kaha

Syeda jis ko Murtaza nay kaha

Apni maa jis ko Mustafa nay kaha

Kanzay Maghfi jisay khuda nay kaha

Jis ki chokhat pay kaba jhukta hain

Ap kya janey Fatima kya hai x2

Jis kay dar say ho hal ata ko ata

Inaman ki aman ka hai gosha

Kul kafa jis ko khud gawaha bana

Fateha kar rahi hai jis ki sana

Pura Quran hee qasida hai

Ap kya janey Fatima kya hai x2

Jis ki chadar ko asmaan kahiye

Apnay bachon ka sahiban kahiye

Isko alhumd ka nishaan kahiye

Hushr kid hoop main amaan kahiye

Kulay imaan ka jo musala hai

Ap kya janey Fatima kya hai x2

Jiska baba Rasool aashiq e rab

Jiskay baitay Hassan Hussain laqab

Yeh jahan main hain sab say acha nasab

Jiska shohar Ali ameer e arab

Surah e noor jiska shajrah hai

Ap kya janey Fatima kya hai x2

Yeh gharaana sakhi mila humko

Isi ghar say Nabi mila humko

Har wasi, har wali mila humko

Aik wali kya, Ali mila humko

Isi ghar say khuda bhi paya hai

Ap kya janey Fatima kya hai x2

Jiska aik baita hai Imam e Hassan

Aik baita Hussain Shah e Zaman

Ai, Abbas mislay qila shikan

Jis nay seekha Ali say jang e ka fan

Jis ka dariya pay ab bhi qabza hai

Ap kya janey Fatima kya hai x2

Ghazi bola mizaaj keher main hai

Mera hum pala koun sheher main hai

Pyaas ka sud e baab neher main hai

Neher yeh Syeda ke neher main hai

Meher yeh khud khuda nay rakha hai

Ap kya janey Fatima kya hai x2

Dar pay jo sar jhuka nahi sakta

Deen o Majid wo paa nahi sakta

Har koyi dark o paa nahi sakta

Aira ghaira to aa nahi sakta

Malakul mawt aa kay rukta hai

Ap kya janey Fatima kya hai x2