Ye Fatima bhi hai Zehra bhi hai

- Shadman Raza (2011)


yaa raaziya yaa marziya yaa tahera yaa sayyada 2

yeh fakhre aamina sarmaayae rasool bhi hai

yeh fatema bhi hai zahra bhi hai butool bhi hai 3

har ek sawaal ka behtar jawaab zinda hai
sadaaqato ka mukammal nisaab zinda hai
bahaare baaghe risaalat ma aab zinda hai
khuda ke bando khuda ki kitab zinda hai
bayaan azmatei khaatoone qaaenat suno
mubahele ki zubaan se khuda ki baat suno

kaha jo bizato minni toh ho gaya maalum
dile rasul ki surat hai fatema maasum
kamaale ilm se aisa bana diya maqsoom
naseeb ho gaye 11 imamato k nuzool
waqaar binte nabi me na kuch kami aaye
khuda ke ghar mei isi waaste ali aaye

ali ne shukr se mazdooriyo me din kaate
nabi ki beti ne chakki me khusk jao peese
ali ne baago me paani diya jihaad kiye
nabi ki beti ne faako me bhar diye sajde
jihaad nafs ka maidaa ali ke haath raha
kamaale sabro riza faatima k saath raha

wo ek chota sa ghar poori kaaenat ka dil
woh ek hujra imamat ke noor ki manzil
woh baamodar jinhe sajda kare mahe kaamil
woh ek nakhl ke saaye me khuld ki mehfil
adab ke saath balandi ka har nishaan jhuke
jaha kaneez ke rube pe aasmaan jhuke

banaame faatema ummat ki betiya jaage
nigaahe akl se raftaare zindagi dekhe
baraaye ghairate dil apne aap se puche
kise milegi jagah fatema ki mehfil me
khuda kare woh tamashaae rozgaar naa ho
rasule paak ki beti se sharmsaar na ho

dhua tanoor se uttha to saaelo k liye
khameer ho gaya aata musafiro ke liye
sukoone qalb ka samaan bekaso k liye
gizaaye sabro riza apne kamsino k liye
isi makaam pe khairul amal ke jalwe hai
yahi woh har hai jaha inqilaab palte hai

ali ke chehrae aqdas pe ambiya ka jalaal
wujud fatema zahra pe mustafa ka jamaal
ali ke dam se jaha me tajalliyo k nehal
mataye fatema zahra hasan husain se laal
ali ne masjide kufa me zakhm khaaya hai
zamaane waalo ne zahra ko bhi rulaaya hai