Haq ka irfan jo paya

- Mir Hasan Mir (2009)


hak ka irfan jo paya to ali yaad aaya
dil main quran samaya to ali yaad aya

adam o noh payambar hon ya hazrat issa
younus o khizir hon ya hazrat mossa
wakt unper bhi jo aaya to ali yaad aaya

ghar tha Allah ka mojood makin koi na tha
koi aayega yahan yeh bhi yakeen koi na tha
dar jo deewar main aaya to ali yaad aaya

sekron soorma the aur pehlwan hazaar
jo the khaiber main sabhi yaar magar mere yaar
mard ka zikar jab aaya to ali yaad aaya

jism ke aik se do(2) tukde barabar dekhe
khoon ki barsaat hoyee urte hoye sar dekhe
ran main abbas jab aaya to ali yaad aaya

neza o teer o tabar koi khanjar na mila
lakh dhoondha kahin kufaar ko lashkar na mila
saaf maidan nazar ayya to ali yaad aaya

apna kuch hosh na tha itni pareshani thee
ghum e duniya ne mujhe ghair rukha tha phir bhi
haath momin se malaya to ali yaad aaya

zikar nabiyon ka suna khoob yake baad deegar
main nusairi to nahin khair se walah magar
zikar Allah ka aaya to ali yaad aaya

jo ke akwal e mayambar ko bhula bhaithe the
hum ali ko bhi nahin jante yeh kehte the
unko mitti main dabaya to ali yaad aaya

kalb e baatil ko kayee tukdon main battey dekha
takht kia cheez hai darbar ulatte dekha
khutba zainab ne sunaya to ali yaad aaya

shab e mairaj ajab baat hoyee yeh gohar
sunke awaz e khuda chounk uthe paighambar
jab nazar kuch nahin aaya to ali yaad aaya

hak ka irfan jo paya to ali yaad aaya
dil main quran samaya to ali yaad aya