Khuda Hafiz-o-Nasir
- Irfan Haider (2008)
Khuda Hafiz-o-Nasir
Khuda Hafiz-o-Nasir, Khuda Hafiz-o-Nasir
Khuda Hafiz-o-Nasir
(Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna) x2
(Zindagi Rahi Toh Phir Milenge) x2
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
- Waise Bhi Ab Iss Duniya Mai Jine Ka Mazaa Kya
- Dil Sine Mai Betaab Hai Aur Lab Pe Bukaa Hai
- Logo Ne Hamei(n) Lutliya Ghar Se Bulaakar
- Har Gaam Pe Yeh Jumla Tumhe Honsla Degaa
- Padh Naade Ali Bhai Pe Rone Ke Bajaaye
- Tum Qaatib-e-Taqdeer Se Shikwa Nahi Karna
- Woh Aun-o-Muhammed Ho Ya Abbas Ya Akber
- Kulsum Ko Kubra Ko Lo Baba Ko Sambhaalo
- Kuch Der Huwi Tumne Toh Dekha Tha Yeh Manzar
- Ay Kaash Yeh Din Hamko Bhi Dikhlaaye Muqaddar
(Hamshakle Payamber Hai Na Abbas Hai Mera) x2
Rukhsat Karo Shabbir Ko Ye Kehke Khudaara
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Iss Dasht Mai Ab Tera Nigehbaan Khuda Hai) x2
Yeh Sochke Maqtal Ko Chalaa Bhai Tumhara
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Baitha Hu Abhi Laashon Se Maqtal Ko Sajaakar) x2
Allah Se Ummeed Rakho Ay Meri Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Jab Ahmed-e-Mursal Na Rahe Kaun Rahega) x2
Mat Girya Karo Degi Yehi Baat Sahara
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Takte Hai Meri Raah Wahaa(n) Mawt Ke Saaye) x2
Yeh Kehte Huwe Rota Hai Mera Bhi Kaleja
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Ham Ghar Se Chale jaaye Toh Girya Nahin Karna) x2
Bas Marzi-e-Maabud Pe Imaan Hai Apna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Qasim Sa Hasee(n) Phul Ke Hurr Jaisa Dilawer) x2
Har Eik Ko Yeh Kehke Tere Bhai Ne Bhejaa
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Roro ke Na Marjaaye Sakina Ko Sambhaalo) x2
Yeh Keh Toh Diya Usne Sidhaaro Mere Baba
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Hamshir Se Yeh Kehke Chalaa Tha Ali-Asgher) x2
Mai Nusrate Shabbir Ko Jaata Hu(n) Sakina
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
(Ho "Mazhar-o-Irfan" Bhi Qabre Shah-e-dee(n) Par) x2
Aur Jaate Huwe Hamse Kahe Zehra Ka Beta
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge
Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna
Zindagi Rahi Toh Phir Milenge